Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Songs From Prem Geet
Hamara Forums > Legends > Legendary Lyricists > Indivar
Jay
Aao mil jaaye

Aao mil jaaye ham sugandh aur suman ki tarha
Ek ho jaaye chalo jaan aur badan ki tarha

Dil ke mandir mein saja rakhi hai murat teri
Mere jeene ki to surat hai ye surat teri
Raat din saath rahe seene mein dhadhkan ki tarha
Aao mil jaaye…

Ek jeewan ki khushi tumne dee ik ik pal mein
Bhar diya saare jag ka pyaar mere aanchal mein
Pyaar ka ek bhi pal pyaara hai jeewan ki tarha
Aao mil jaaye…
Jay
Dekh lo aawaaj de kar

dekh lo aawaaj de kar, paas apane paaoge
aaoge tanahaa magar, tanahaa naheen tum jaaoge

door rahakar bhee tum hee par, rahatee hain apanee najar
baahon mein hum thaam lenge, jab bhee thhokar khaaoge

le naa badale mein tumhaare, gar khudaee bhee mile
chhod denge do jahaan ko, jab bhee tum faramaaoge

bewafaee bhee karo to, maaf kar denge tumhe
hum naa waadon se firenge, tum agar fir jaaoge
Jay
Honton se chhoolo tum

Hm mm mm mm, hm hm hm hm hm hm hm
(Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do) - 2
Ban jaao meet mere
Meri preet amar kar do
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do
(Na umr ki seema ho
Na janm ka ho bandhan) - 2
Jab pyaar kare koi
To dekhe keval mann
(Nayi reet chalaakar tum
Yeh reet amar kar do) - 2
(Aakaash ka soonapan
Mere tanha mann mein) - 2
Paayal chhankaati tum
Aa jaao jeevan mein
Saansein dekar apni
Sangeet amar kar do
Sangeet amar kar do
Mera geet amar kar do
(Jag ne chheena mujhse
Mujhe jo bhi laga pyaara) - 2
Sab jeeta kiye mujhse
Main har dam hi haara
(Tum haarke dil apna
Meri jeet amar kar do) - 2
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2024 Invision Power Services, Inc.