Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

My Favourite Songs

, Lyrics

 
18 Pages V « < 11 12 13 14 15 > »   
Reply to this topicStart new topic
> My Favourite Songs, Lyrics
Mohsin26
post Sep 11 2005, 03:23 AM
Post #181


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song :Zameen se hume aasmaan par
Movie: Adalat
Singer: ASHA BHOSLE, MOHD. RAFI



Zameen se hume aasmaan par
bithake gira to na doge
Agar hum yeh poochhe ke dil mein
basake bhula to na doge

Ae raat is waqt aanchal mein teri
jitne bhi hain yeh sitare
Jo de de tu mujhko to phir main loota doon
kisiki nazar pe yeh saare
Kaho ke yeh rangeen sapne
sajake meeta to na dege
Agar hum yeh poochhe ke dil mein
basake bhula to na doge

Tumhare sahare nikal to pade hain
hai manzil kahan dil na jaane
Jo tum saath doge to aayegi ek din
manzil gale se lagane
Itna to dil ko yakeen hai
hume tum daga to na doge
Agar hum yeh poochhe ke dil mein
basake bhula to na doge

Zameen se hume aasmaan par
bithake gira to na doge
Agar hum yeh poochhe ke dil mein
basake bhula to na doge


The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 11 2005, 03:26 AM
Post #182


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song :Tumse Door Rehke
Movie: Adalat (New)
Singer: MOHAMMED RAFI AND LATA MANGESHKAR



Oh tumse door rehke
Oh tumse door rehke humne jaana pyaar kya hai
Dil ne maana yaar kya hai

Oh tumse door rehke
Oh tumse door rehke humne jaana pyaar kya hai
Dil ne maana yaar kya hai, oh oh


Oh tumse door rehke

Tumko paake na pehlu mein lagta tha yun
Jeete hain kis liye aur zinda hai kyoon


Hum bhi rehte the bechain se har ghadi
Bin tumhaare to veeraan thi zindagi -


Oh tumse door rehke


Oh tumse door rehke


Dooriyaan kis liye mil gaye hain jo hum
Ab to hone do armaan poore sanam


Waqt aane se mit jaayengi dooriyaan
Jab na hongi zamaane se majbooriyaan -

Oh tumse door rehke, oh tumse door rehke

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 11 2005, 03:29 AM
Post #183


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song :tere pyaar kaa aasaraa
Movie: DHOOL KA PHOOL
Singer: LATA MANGESHKAR, MAHENDRA KAPOOR



tere pyaar kaa aasaraa chaahataa hoon
wafaa kar rahaa hoon wafaa chaahataa hoon

haseenon se yehad-ye-wafaa chaahate ho
bade naasamaz ho ye kyaa chaahate ho

tere narma baalon mein taaren sajaa ke
tere shaukh kadamon mein kaliyaan bichhaa ke
mohabbat kaa chhotaa saa mandir banaa ke
tuze raatadin poojanaa chaahataa hoon

jaraa soch lo dil lagaane se pahale
ke khonaa bhee padataa hain paane se pahale
ijaajat to le lo jamaane se pahale
ke tum husn ko poojanaa chaahate ho

kahaa tak jiye teree ulafat ke maare
gujaratee naheen jindagee been sahaare
bahot ho chooke door rahakar ishaare
tuze paas se dekhanaa chaahataa hoon

mohabbat kee dushman hain saaree khudaee
mohabbat kee takadeer mein hain judaee
jo sunate naheen hai, dilon kee duhaee
unahee se muze maanganaa chaahate ho

dupatte ke kone ko muh mein dabaa ke
jaraa dekh lo is taraf muskuraake
muze loot lo mere najadik aake
ke mai maut se khelanaa chaahataa hoon

galat saare daawe, galat saaree kasmein
nibhenge yahaan kaise ulafat ke rasmein
yahaan jindagee hain riwaajon ke bas mein
riwaajon ko tum todanaa chaahate ho

riwaajon kee pawraa naa rasmon kaa dar hain
teree aankh ke faisale pe najar hain
balaa se agar raastaa kurkhatar hain
mai is haath ko thaamanaa chaahataa hoon



The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 11 2005, 03:30 AM
Post #184


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song :dhadakane lage dil
Movie: DHOOL KA PHOOL
Singer: ASHA BHOSLE, MAHENDRA KAPOOR



dhadakane lage dil ke taaron kee duniyaan, jo tum muskuraa do
sanwar jaaye hum bekaraaron kee duniyaan, jo tum muskuraa do

jo tum muskuraa do bahaaren hase, sitaaron kee ujalee kataaren hase
jo tum muskuraa do najaaren hase, jawaan dhadakanon ke ishaare hase
dhadakane lage dil ...

hawaa mein ye khushaboo kee angadaeeyaan, ye aankhon pe julfon kee parachhaeeyaan
ye mastee ke dhaaren ubalate huye, ye seenon mei toofaan machalate huye
dhadakane lage dil ...

ye bozal ghataayen barasatee huyee, ye bechain ruhe tarasatee huyee
ye saanson se shole nikalate huye, badan aanch khaakar pighalate huye
dhadakane lage dil ...


The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 12 2005, 01:35 AM
Post #185


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song :Hum Tum Pe Marte Hain
Movie: HUM TUM PE MARTE HAIN
Singer: LATA MANGESHKAR AND UDIT NARAYAN



Hum aap mein kuch hogaya
Kuch mil gaya, kuch khogaya

Hum aap mein kuch hogaya
Kuch mil gaya, kuch khogaya
Jo chaahe tum isse maan lo
Lekin suno, yeh jaan lo
Hum tumpe marte hain,
hum tumpe marte hain -

Hum aap mein kuch hogaya
Kuch mil gaya, kuch khogaya
Jo chaahe tum isse maan lo
Lekin suno, yeh jaan lo
Hum tumpe marte hain,
hum tumpe marte hain -

Neend bhi loot li, chain bhi le liya
Aap ka, aap ke pyaar ka shukriya


Aap se hai hamein yeh gila, o piya
Jaan kyoon chhod di, le liya jab jiya

Hum aap mein kuch hogaya
Kuch mil gaya, kuch khogaya


Jo chaahe tum isse maan lo
Lekin suno, yeh jaan lo
Hum tumpe marte hain,
hum tumpe marte hain

Hum tumpe marte hain,
hum tumpe marte hain

Oh, aapke naam se naam hum jor de
Yeh kasam khaaye hum,
har kasam tor de


Tum kaho, yeh gali, yeh shaher chhor de
Kya gali, kya shaher hum jahan chhor de


Hum aap mein kuch hogaya
Kuch mil gaya, kuch khogaya
Jo chaahe tum isse maan lo
Lekin suno, yeh jaan lo
Hum tumpe marte hain,
hum tumpe marte hain -


Hum aap mein kuch hogaya
Kuch mil gaya, kuch khogaya
Jo chaahe tum isse maan lo
Lekin suno, yeh jaan lo
Hum tumpe marte hain,
hum tumpe marte hain -

Bas aapke hum hogaye


Bas aapke hum hogaye

Bas aapke hum hogaye,
bas aapke hum hogaye

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 12 2005, 01:40 AM
Post #186


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song :Deewana kar ke chhodoge
Movie: MERE JEEVAN SAATHI
Singer: LATA MANGESHKAR & KISHOR KUMAR



Deewana kar ke chhodoge, lagta hai yoon hum ko
Sau baar kaha e-jane-jahan, yoon pyaar se tum dekha na karo
Hai jeevan mushkil kar doge lagta hai yoon humko
Sau baar kaha e-jane-jahan, yoon pyaar se tum dekha na karo

Aise na bus jana tha meri palkon ke tale
rahi vahin rukte hain ghani jahan chhaon mile
pyaar se ruk ruk dekh rahe kya ho mujh main
sir se kadam tak sapnon ke kai gaon mile
kaisi hoon main saajan phir se kaho na, kaho na

Tum na mile the, kuch bhi nahi tha jeene main
aafat hai milna saavan ke mahine main
toofan kya hai dekho meri in aakhon main
aakhon ki tasveer bahi mere seene main
tum hi tum ho in sanson main suno na, suno na

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 14 2005, 02:14 AM
Post #187


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song : Chalaa jaataa hoo, kisee kee dhoon me
Movie: MERE JEEVAN SAATHI
Singer: KISHOR KUMAR



chalaa jaataa hoo, kisee kee dhoon me, dhadakate dil ke taraane liye
milan kee mastee bharee aakhon me, hajaaro sapane suhaane liye

ye mastee ke najaare hai, to ayese mein sanbhalanaa kaisaa meree kasam
jo laharaatee dagareeyaa ho, to fir kyo naa chaloo main bahakaa, bahakaa re
mere jeewan mein ye shaam aayee hai, mohabbat waale jamaane liye

wo aalam bhee ajab hogaa, wo jab mere kareeb aayegee meree kasam
kabhee baiyyaa chhudaa legee, kabhee has ke gale se lag jaayegee haay
meree baahon mein machal jaayegee, wo sachche zoothhe bahaane liye

bahaaro me, najaaro me, najar daaloo to ayesaa laage meree kasam
wo naino mein bhare kaajal ghooghant khole khadee hain mere aage re
sharam se bozal zookee palakon me, jawaan raaton ke fasaane liye

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 14 2005, 02:15 AM
Post #188


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song : Deewana Leke Aaya Hai
Movie: MERE JEEVAN SAATHI
Singer: KISHOR KUMAR



Deewana Leke Aaya Hai
Dil Ka Taraana
Dekho Kahin Yaaron
Thukra Na Dena Mera Nazrana
Deewana Leke Aaya Hai
Dil Ka Taraana

Aaj Ka Din Hai
Kitna Suhana
Jhoom Raha Pyar Mera
Poori Ho Dil Ki
Sari Muradein
Khush Rahe Yaar Mera
Ho Ho Chaand Sa Jeeivan
Saathi Mubarak
Jeevan Mein Ana

Deewana Leke Aaya Hai
Dil Ka Taraana

Apne Bhi Hain Kuchh
Khwab Adhure
Kaun Ab Giney Kitne
Sach To Ye Hai Ke Mere
Dost Ke Sapne Bhi
Hain Mere Apne
Ho Ho Uski Khushi Ab
Meri Khushi Hai
Ae Dil-E-Deewana

Deewana Leke Aaya Hai
Dil Ka Taraana

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 14 2005, 02:19 AM
Post #189


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604



Song : O Mere Dil Ke Chaen
Movie: MERE JEEVAN SAATHI
Singer: KISHOR KUMAR



O Mere Dil Ke Chaen
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye
O Mere Dil Ke Chaen

Apna Hi Saaya Dekh Ke Tum
Jaane Jahan Sharma Gaye
Abhi To Yeh Pehli Manzil Hai
Tum To Abhi Se Ghabra Gaye
Mera Kya Hoga Socho To Zara
Haay Aise Na Aanhe Bhara Kijiye

O Mere Dil Ke Chaen
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye
O Mere Dil Ke Chaen

Aap Ka Armaan
Aap Ka Naam
Mera Fasana Aur Nahin
Inn Jhukti Palkon Ke Siva
Mera Thikana Aur Nahin
Jachta Hi Nahin
Aankhon Mein Koi
Dil Tumko Hi Chahe To Kya Kijiye

O Mere Dil Ke Chaen
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye
O Mere Dil Ke Chaen

Yun To Akela Hi Aksar
Gir Ke Sambhal Sakta Hoon Main
Tum Jo Pakad Lo Haath Mera
Duniya Badal Sakta Hoon Main
Maanga Hain Tumhe Duniye Ke Liye
Ab Khud Hi Sanam Faisla Kijiye

O Mere Dil Ke Chaen
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye
O Mere Dil Ke Chaen

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 14 2005, 02:25 AM
Post #190


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song : Udan Khatole Waale AA Re
Movie: UDAN KHATOLA
Singer: LATA MANGESHKAR



ko: ahaahaha aha ha ha ha
aha ha ha ha ha mera salaam le ja
la: mera salaam le jaa, dil ka payaam le jaa, ulfat ka jaam le ja
(udan khatole vaale aa re)-2
ko: mera salaam le jaa, dil ka payaam le jaa, ulfat ka jaam le ja
(udan khatole vaale aa re)

la: la la la la la la la la ho
ko: la la la la la la la la ho
la: udata havaaon mein, baadal ke chhaanv mein, kaun se gaanv mein
jaayega tu
ko: udata havaaon mein, baadal ke chhaanv mein, kaun se gaanv mein
jaayega tu
la: neeche zameen hain, duniya haseen hain, dil ko yakeen hain
aayega tu
ko: neeche zameen hain, duniya haseen hain, dil ko yakeen hain
aayega tu
hoy, mera salaam le jaa, dil ka payaam le jaa, ulfat ka jaam le ja
(udan khatole vaale aa re)-

la: la la la la la la la la ho
ko: la la la la la la la la ho
la: uunchi udaan hai, palkon pe jaan hai, aage toofaan hain
jaana kaheen
ko: uunchi udaan hai, palkon pe jaan hai, aage toofaan hain
jaana kaheen
la: manzil bhi duur hai, himmat bhi chuur hai, aana zaruur hai
aaja yahi
ko: manzil bhi duur hai, himmat bhi chuur hai, aana zaruur hai
aaja yahi
hoy, mera salaam le jaa, dil ka payaam le jaa, ulfat ka jaam le ja
udan khatole vaale a re



The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 14 2005, 02:27 AM
Post #191


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song : Aayi Thi Raat Josh E Tamanna
Movie: UDAN KHATOLA
Singer: LATA MANGESHKAR



aayi thi raat josh-e-tamannaa liye hue
jaati hai ab luti hui duniyaa liye hue

(sitaaron ki mehfil saji tum na aaye)-
saji tum na aaye
tumhe hamne aavaaz di sajnaa
tumhe hamne aavaaz di,tum na aaye
(haaye tum na aaye)-

bichhadane ko ab raat kaa kaarvaan hai
haaye kaaravaan hai
huaa chaand benuur, chup aasamaan hai
chup aasamaan hai
chali ruthakar chaandani, tum na aaye
(haaye tum na aaye)-

abhi jaag uthe hain ummeedon ke taare
ummeedon ke taare
chale aao pyaare muhabbat pukaare
muhabbat pukaare
bahaaron ko neend aa gayi,tum naa aaye
(haaye tum na aaye) -



The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 14 2005, 02:29 AM
Post #192


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song : Chale Aaj Tum Jahaan
Movie: UDAN KHATOLA
Singer: RAFI



chale aaj tum jahaan se, hui zindagi paraayi
tumhein mil gaya thikaanaa, hamein maut bhi na aayi

o duur ke musaafir ham ko bhi saath le le re
ham ko bhi saath le le
ham rah gaye akele

tuune vo de diya gam, bemaut mar gaye ham
dil uth gaya jahaan se, le chal hamein yahaan se
le chal hamein yahaan se
kis kaam ki ye duniya jo zindagi se khele re
ham ko bhi saath le le, ham rah gaye akele

suuni hain dil ki raahen, khaamosh hain nigaahein
naakaam hasaraton ka uthane ko hai janaaza
uthane ko hai janaaza
chaaron taraf lage hain barabaadiyon ke mele re
ham ko bhi saath le le, ham rah gaye akele

o duur ke musaafir ham ko bhi saath le le re
ham ko bhi saath le le
ham rah gaye akele




The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 14 2005, 02:31 AM
Post #193


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song : Dooba Tara Umeedo Ka
Movie: UDAN KHATOLA
Singer: LATA MANGESHKAR



dooba taara ummiidon ka sahaara chhut gaya -
jab unake haath se daaman hamaara chhut gaya
o dooba taara ...

geet milan ke gaati duniya dekh saki na hamko
pyaar pe koi bas na chala to -
chhin liya pritam ko -
haay pritam ko
nagri mere armaanon ki zamaana loot gaya
jo mere haath se ...

pyaase ko saagar dikhala ke chhin liya kyon paani o
o jag vaale
o jag vaale tuune bhi mere
dil ki lagi na jaani
haay na jaani
tukade ho gae mere dil ke nasiiba phuut gaya
jo mere haath se ...


The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 14 2005, 02:34 AM
Post #194


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song : Garibon Ko Tu Aye Duniya
Movie: UDAN KHATOLA
Singer: LATA MANGESHKAR



garibon ko tu aye duniya sata le jitna ji chaahe -
( teri hasrat na reh jaaye ) - rula le jitna ji chaahe
garibon ko tu aye duniya ...

mujhe naakaam rehne de mujhe barbaad rehne de -
magar toote hue dil mein kisi ki yaad rehne de -
hansi ujdi mohabbat ki uda le jitna ji chaahe
garibon ko tu aye duniya ...

na ham honge na gam honge zamaane woh bhi aayenge -
mohabbat jeet jaayegi sitamgar haar jaayenge
sitam ke teer seene par chala le jitna ji chaahe
teri hasrat na reh jaaye ...


The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Sep 14 2005, 02:35 AM
Post #195


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song : Ghar Aaya Mehmaan Koi
Movie: UDAN KHATOLA
Singer: LATA MANGESHKAR



ghar aaya mehmaan koi jaan na pehchaan bane baalam
o bada zaalam ho bada zaalam

ko:
o ghar aaya mehmaan
ghar aaya mehmaan koi jaan na pehchaan bane baalam
o bada zaalam ho bada zaalam

lata:
pehale nainan mein phir man mein aaya
chaandni mere jeevan mein laaya ho
ko:
pehale nainan mein phir man mein aaya ho
chaandni mere jeevan mein laaya ho
lata:
o o chanda ki khidki se dekhe jo ghuur
khada duur, jiya chuur
ko:
hoy chanda ki khidki se dekhe jo ghuur
khada duur jiya chuur
lata:
mohe chhede har aan
kare maan beimaan bane baalam
o bada zaalma ho bada zaalam

lata:
o kare natkhat ishaaron mein batiyaan -2
jiya dhadke mora -2
phadke ankhiyaan
ko:
o phadke ankhiyaan
lata:
o o phadke ankhiyaan ho
ko:
kare natkhat ishaaron mein batiyaan
ho jiya dhadke moraa, phadke ankhiyaan
lata:
o o laage na manva pe birah ka teer
bahe neer uthe peer
ko:
hoy laage na manva pe birah ka teer
bahe neer uthe peer
lata:
kahi jaaye na jaan
main naadaan hu anjaan bane baalam
o bada zaalam ho bada zaalam

ko:
o ghar aaya mehmaan
ghar aaya mehmaan koi jaan na pehchaan bane baalam
o bada zaalam ho bada zaalam



The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

18 Pages V « < 11 12 13 14 15 > » 
Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 24th July 2025 - 12:08 AM