Sahir Ludhianvi Ki Shayri, Geet Nazm Ghazal |
Sahir Ludhianvi Ki Shayri, Geet Nazm Ghazal |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:17 AM
Post
#1
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
MaiN pal do pal ka shayar hooN, pal do pal meri kahaani hai
pal do pal meri hasti hai, pal do pal meri jawaani hai Duniya ne tajrubaat-o-hawaadis ki shakl meiN jo kuchh mujhe diya hai woh lauTa raha hooN maiN |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:18 AM
Post
#2
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Apne seene se lagaaye hue ummeed ki laash
muddastoN zeest ko nashaad kiya hai maiN ne tu ne to aik hi sadme se kiya tha dochaar dil ko har tarah se barbaad kiya hai maiN ne |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:19 AM
Post
#3
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Tapte dil par yooN girti hai
teri nazar se payaar ki shabnam jalte hue jungle par jaise bar.khaa barse, ruk ruk tham tham |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:19 AM
Post
#4
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Tang aa chuke haiN kashmash-e-zindagi se ham
Thukra na deN jahaN ko kahiN be-dili se ham lo aaj ham ne toRh diya rishtay-e-ummeed lo ab kabhi gila na kareN ge kissi se ham gar zindagi meN mil gaye phir ittefaaq se puuchheN ge apna haal teri be-basi se ham |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:21 AM
Post
#5
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Apne seene se lagaaye hue ummeed ki laash
muddastoN zeest ko nashaad kiya hai maiN ne tu ne to aik hi sadme se kiya tha dochaar dil ko har tarah se barbaad kiya hai maiN ne |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:22 AM
Post
#6
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Maayuus to huuN vaade se
maayuus to huuN vaade se tere kuchh aas nahiiN kuchh aas bhii hai main ap’ne KhayaaloN ke sad’qe tuu paas nahiiN aur paas bhii hai ham’ne to Khushii maaNgii thii magar jo tuune diyaa achchhaa hii diyaa jis Gham ko taa’alluq ho tujh’se wo raas nahiiN aur raas bhii hai pal’koN pe laraj’te ashkoN meN tasviir jhalak’tii hai terii diidaar kii pyaasii aaNkhoN ko ab pyaas nahiiN aur pyaas bhii hai |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:23 AM
Post
#7
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Tum Apna Ranj O Gham
tum ap’naa ranj o Gham ap’nii pareshaanii mujhe de do tumhe Gham kii qasam is dil kii viiraanii mujhe de do ye maanaa maiN kisii qaabil nahiiN huuN in nigaahoN meN buraa kyaa hai agar ye dukh ye hairaanii mujhe de do maiN dekhuuN to sahii duniyaa tumheN kaise sataatii hai koii din ke liye apanii nigah’baanii mujhe de do vo dil jo maiNne maaNgaa thaa magar GhairoN ne paayaa baRii kaif hai agar usakii pashemaanii mujhe de do |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:24 AM
Post
#8
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Aqaaid Waham Hain
aqaaid waham haiN, mazhab Khayaal-e-Khaam hai saaqi azal se zehn-e-insaaN basta-e-auhaam hai saaqi haqeeqat aashnaaii asl meiN gumkardah raahii hai aroos-e-aagahii parvardah-e-ibhaam hai saaqi mubaarak ho za’eefii ko Khirad ki falsafadaanii javaabii be-niyaaz-e-ibrat-e-anjaam hai saaqii havas hogii aseer-e-Halqa-e-nek-o-bad-e-aalam muhabbat maavara-e-fikr-e-naNg-o-naam hai saaqi abhii tak raaste ke pech-o-Kham se dil dhaRaktaa hai mira zauq-e-talab shaayad abhii tak Khaam hai saaqi vahaaN bhejaa gayaa houN chaak karne parda-e-shab ko jahaaN har subah ke daaman pe aks-e-shaam hai saaqii mire saaGhar meiN mai hai aur tire haathoN meiN barbat hai vatan ki sarzameeN meiN bhook se kuhraam hai saaqii zamanaa barsar-e-paikaar hai purhol sho’oloN se tire lab par abhii tak naGhma-e-Khayyaam hai saaqii ‘aqaaid = rules (here it means perhaps religious beliefs) mazhab = religion Khyaal-e-Khaam = an immature thought.. a thought which hasn’t riped yet or reached its full potential azal = from the beginning zehn-e-insaaN = the mind of mankind basta-e-auhaam = struck with doubts, full of doubts haqeeqat aashnaaii = the knowledge of truth gumkardah-raahii = strayed path aroos-e-aagahi = bride of knowledge parvardah-e-ibhaam = bread and brought up by doubt za’eefi = old-age Khirad = knowledge, mind falsafadaani = philosophy beniyaaz-e-ibrat-e-anjaam = able to dispense with the fear of the outcome hawas = lust aseer-e-halqa-e-nek-o-bad-e-aalam = capatured by world’s criterias of good and bad maavaara = beyond fikr-e-naNg-o-naam = shameful - disgraced thoughts pech-o-Kham = twists and bends and curves zauq-e-talab = search of delight, pleasure parda-e-shab = the curtain of night aks-e-shaam = the shadow of the evening saaGhar = glass (of wine usually) barbat = harp kuhraam = lamentation, weeping barsar-e-paikaar = head on in the battle purhol = dreadful naGhma-e-Khayyam = the song of Khayyaam |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:25 AM
Post
#9
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Har chaNd mirii quvvat-e-guftaar hai mahboos
har chaNd mirii quvvat-e-guftaar hai mahboos Khamosh magar taba’a Khudaaraa nahiiN hoti ma’moora-e-ehsaas meiN hai Hashr sa barpaa insaan ki tazleel gavaaraa nahiiN hoti naalaa houN maiN be-daari-e-ehsaas ke haathoN duniyaa mire afkaar ki duniyaa nahiiN hoti! begaanaa sifat jaada-e-manzil se guzar jaa har cheez sazaa-vaar nazaaraa nahiiN hoti fitrat ki mashiiyat bhi baRi cheez hai lekin fitrat kabhii be-bas ka sahaaraa nahiiN hoti! Glossary: quvvat-e-guftaar = power of speech mahboos = confused taba’ = disposition ma’mooraa-e-ehsaas = in the city of emotions (in my emotions) Hashr = tumult tazleel = degradation, humiliation naalaaN = sad bedaari-e-ehsaas = alertness of my thoughts, emotions afkaar = thoughts sifat = attribute, praise, quality jaada-e-manzil = the road leading to the goal sazaavaar = deserving nazzaara = sight (sazaavaar-e-nazzara = deserving a look) mashiiyat = wish (attributed to the will of God… here the will of nature - fitrat) |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:26 AM
Post
#10
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Bharam terii vafaaoN kaa
bharam terii vafaaoN kaa miTaa dete to kyaa hotaa tere chehare se ham pardaa uThaa dete to kyaa hotaa muhabbat bhii tijaarat ho gayii hai is zamaane meN agar ye raaz duniyaa ko bataa dete to kyaa hotaa terii ummiid par jiine se haasil kuch nahiiN lekin agar yuuNhii na dil ko aasaraa dete to kyaa hotaa |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:26 AM
Post
#11
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Buhaa Diye Hain
bujhaa diye haiN Khud apne haathon mohabbatoN ke diye jalaake merii vafaa ne ujaaR dii haiN ummiid kii bastiyaaN basaa ke tujhe bhulaa deNge apne dil se ye faisalaa to kiyaa hai lekin na dil ko maaluum hai na hamko jiyeNge kaise tujhe bhulaa ke kabhii mileNge jo raaste meN to muhN phiraakar palaT paReNge kahiiN suneNge jo naam teraa to chup raheNge nazar jhukaa ke na sochne par bhii sochatii huuN ke zindagaanii meN kyaa rahegaa terii tamannaa ko dafn karke tere KhayaaloN se duur jaake |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:27 AM
Post
#12
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
hawas naseeb nazar ko kahiiN - Ghazal
hawas naseeb nazar ko kahiiN qaraar nahiiN maiN muntazar houN, magar teraa intezaar nahiiN hamiiN se raNg-e-gulistaaN, hamiiN se raNg-e-bahaar hamiiN ko nazm-e-gulistaaN pe iKhtiyaar nahiiN abhii na chheR muhabbat ke geet aie mutrib abhii hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahiiN tumhaare ahd-e-vafaa ko maiN ahd kyaa samjhouN mujhe Khud apnii muhabbat kaa aitbaar nahiIN na jaane kitne gile ismeiN muztarib hai nadeem vo ek dil jo kisii kaa gilaa-guzaar nahiiN gurez kaa nahiiN qaa’il hayaat se, lekin jo sach kahouN to mujhe maut naagavaar nahiiN ye kis maqaam pe pahuNchaa diyaa zamaane ne kab hayaat pe tera bhi iKhtiyaar nahiiN Glossary: hawas-naseeb = lustful qaraar = satisfaction muntazir = waiting nazm-e-gulistaaN = the arrangment of the garden (system!) mutrib = singer hayaat = life maahaul = environment Khushgavaar = happy ahd-e-vafaa = the promise of love and faithfulness gile = complaints muztarib = anxious nadeem = companion gurez = running away qaa’il = consenting naagavaar = unpleasant iKhtiyaar = adopted, acquired |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:29 AM
Post
#13
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Tang Aa Chuke Hain
taNg aa chuke haiN kash-ma-kash-e-zindagi se ham Thukraa na deiN, jahaaN ko kahiiN bedili se ham maayoosi-e-ma’aal-e-muhabbat na poochhiye apnoN se pesh aaye haiN begaanagii se ham lo aaj hamne toR diyaa rishta-e-ummeed lo ab kabhii gilaa na kareiNge kisii se ham ubhreiNge ek baar abhii dil ke valvale go dab gaye haiN baar-e-Gham-e-zindagii se ham gar zindagii meiN mil gayee phir ittafaaq se poochheiNge apnaa haal tirii bebasii se ham allah re fareb-e-masheeyat k aaj tak duniyaa ke zulm sahte rahe Khamushii se ham Glossary: kash-ma-kash-e-zindagi = life’s puzzles, confusions maayoosi-e-ma’aal-e-muhabbat = the disappointement because of the result of love rishta-e-ummeed = the relation with hope baar-e-Gham-e-zindagii = the weight of lifes’ worries fareb-e-masheeyat = divine scam |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:30 AM
Post
#14
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
KhuddariyoN ke Khuun ko arzaaN - Ghazal
KhuddariyoN ke Khuun ko arzaaN na kar sake ham apne jauharoN ko numaayaaN na kar sake hokar Kharaab-e-mai tire gham to bhulaa diye lekin gham-e-hayaat ka darmaaN na kar sake TuuTaa talism-e-ahd-e-muhabbat kuchh is taraH phir aarzoo ki shamaa’ farozaaN na kar sake har shai qareeb aa ke kashish apnii kho gayii vo bhii ‘ilaaj-e-shauq-e-gurezaaN na kar sake kis darjah dil shikan the muhabbat ke haadse ham zindagii meiN phir koii armaaN na kar sake maayuusiyoN ne chhiin liye dil ke valvale vo bhii nashaat-rooH kaa saamaaN na kar sake Glossary: arzaaN = lowpriced, cheap jauharoN = abilities numaayaaN = showing, uncovering Kharaab-e-mai = destroyed by alcohol gham-e-hayaat = sadness of life darmaaN = cure talism-e-ahd-e-muhabbat = loves’ enchanting promise farozaaN = luminous, shining ilaaj-e-shauq-e-gurezaaN = curing a leaving love dilshikan = heartbreaking nashaat-rooH = happiness of the soul |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:31 AM
Post
#15
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Dekha to thaa yuuN hi kisi - Ghazal
dekhaa to thaa yuuN hi kisii ghaflat-shi’aar ne deevanaa kar diyaa dil-e-be-iKhtiyaar ne aie aarzoo ke dhuNdle kh(w)aaboN! javaab do phir kis kii yaad aayii thii mujhko pukaarne? tumko Khabar nahiiN, magar ik saadah-lauH ko barbaad kar diyaa tire do din ke pyaar ne maiN aur tum se tark-e-muhabbat kii aarzoo deevaanaa kar diyaa hai gham-e-rozgaar ne ab aie dil-e-tabaah tiraa kyaa Khayaal hai ham to chale the kaakul-e-getii saNvaarne! Glossary: ghaflat-shi’aar = careless by nature be-ikhtiyaar = unwilling saada-lauH = simple natured tark-e-muhabbat = to give up loving gham-e-rozgaar = the calamities of the world kaakul-e-getii = World’s hair |
Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | | Time is now: 1st November 2024 - 04:31 AM |