Printable Version of Topic

Click here to view this topic in its original format

Hamara Forums _ Lyrics _ Is Desh Ka Sandesh Laaya

Posted by: r&d Apr 28 2010, 07:57 AM

is desh ka sandesh laaya mein aapke hi naam
azaadi ki shehzaadi ka sunlo hai ye paigam (2)
sunlo hai ye paigam (2)

gareebon ko tum saath apne milao (2)
ameeron watan se gareebi hataao
yehe waqt hai kuch karke dekhao
ameeron watan se gareebi hataao

watan ke bhale se humara bhala hai
hamne jo mila woh watan se mila hai
hindu, sikh, isi, musalman bhaiyon
watan he ewaadat, watan he khuda hai
watan se na tum apni daulat chhupao (2)
ameeron watan se gareebi hataao
gareebon ko tum saath apne milao
ameeron watan se gareebi hataao

jawani ka tum bholapan bhi khareedo
nasheelee nazar gora tan bhi khareedo
ye surkhi, ye kajal, ghoongru, ye payal
chandi ki tantan se chanchan kharedo
bache tax toh sex pe tum lutao
khoob lutao
bache tax toh sex pe tum lutao
ameeron watan se gareebi hataao
gareebon ko tum saath apne milao
ameeron watan se gareebi hataao

hazaaron shaheedo ne jeevan lutaya
badi mushqilon se azaadi ko paaya
ye bapu ka marna amar hai ke jisne
watan ka chaman khoon dekar sajaya
gareebon ko apne gale se lagao
lagao lagao
gareebon ko apne gale se lagao
ameeron watan se gareebi hataao
gareebon ko tum saath apne milao
ameeron watan se gareebi hataao

ye janta bhi sarkar ke saath hoti
toh is desh ki yaaron kya baat hoti
ye choori, ye rishwat, milawat na hoti
toh bharat mein daulat ki barsaat hoti
gareebi ke akshar watan se mitao (2)
sab milke bolo gareebi hatao
bolo
gareebi ke akshar watan se mitao
gareebi hatao
gareebi ke akshar mitao
gareebi hatao (4)


-- Varma Malik

Powered by Invision Power Board (http://www.invisionboard.com)
© Invision Power Services (http://www.invisionpower.com)