Sahir Ludhianvi Ki Shayri, Geet Nazm Ghazal |
Sahir Ludhianvi Ki Shayri, Geet Nazm Ghazal |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:32 AM
Post
#16
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Muhabbat tark ki maiN ne - ghazal
muhabbat tark kii maiN ne garebaaN sii liyaa maiN ne zamaane ab to Khush ho zahar ye bhii pii liyaa maiN ne abhii zindah huN lekin sochataa rahtaa huuN Khalwat meiN k ab tak kis tamannaa ke sahaare jii liyaa maiN ne unheiN apnaa nahiiN saktaa magar itnaa bhii kyaa kam hai k kuchh muddat hasiiN Kh(w)aaboN meiN kho kar jii liyaa maiN n bas ab to daaman-e-dil chhoR do bekaar ummiido! bahut sikh sah liyaa maiN ne bahut din jii liyaa maiN ne Glossary: tark (karna) = to abandon, leave, desert garebaaN = collar Khalwat = Solitude |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:33 AM
Post
#17
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Lamha-e-Ghaneemat
muskuraa aie zameen-e-teerah-o-taar sar uThaa aie dabii hui maKhlooq dekh vo maGhrabii ufaq ke qareeb aaNdhiyaaN pech-o-taab khaane lagiiN aur pooraane qamaar Khaane meiN kuhnah shaatir baham ulajhane lage koii terii taraf nahiiN nigraaN ye giraaN-baar sard zanjeereiN zang-Khurdaa haiN, aahanii hi sahii aaj mauqaa’ hai TooT saktii haiN fursat-e-yak nafas Ghaneemat hai sar uThaa aie dabii hui maKhlooq Glossary: teerah-o-tark = dark makhlooq = creation (people) maGhribi = western ufaq = horizon pech-o-taab = restlessness, anxiety, agitation qamaar-Khaana = gambling houses kuhna = old, ancient shaatir = clever, cunning, chess players baham = one against another, together, one with another nigraaN = looking giraaN-baar = heavy zang-Khurdaa = rusted aahani = made of iron fursat-e-yak-nafas = a free moment Ghaneemat = blessing |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:35 AM
Post
#18
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Subah-e-nau roz (The morning of a new day)
subah-e-nau-roz phooT paReeN mashriq se kirneiN haal banaa maazii ka fasaanaa gooNjaa mustaqbil ka taraanaa bheje haiN ahbaab ne tuhfe aTe paRe haiN mez ke kone dulhan banii hui haiN raaheiN jashn manaao saal-e-nau ke nikli hai bangle ke dar se ik muflis dahqaan ki beTi afsurdah murjhaaii hui hai jism ke dukhte joR dabaati aaNchal se seene ko chhupaatii muTThii meiN ik noT dabaaye jashn manaao saal-e-nau ke bhooke zard gadaagar bachche kaar ke peechhe bhaag rahe haiN waqt se pahle jaag uThe haiN peep bharii aaNkheiN sahlaate sar ke phoRoN ko khujlaate vo dekho kuchh aur bhi nikle jashn manaao saal-e-nau ke Glossary: mashriq = east haal = present maazii = past mustaqbil = tomorrow ahbaab = friends tuhfe = presents aTe = saal-e-nau = new year muflis = poor dahqaan = villager afsurdah = sad noT = english word, “Note” indicating “bill” (currency wise) zard = yellow gadaagar = beggars peep = pus |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:36 AM
Post
#19
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Mujhe sochne de
Merii naakaam muhabbat kii kahaani mat chheR apnii mayoos umaNgoN ka fasaanaa na sunaa zindagii talKh sahii, zahar sahii, sitam* hi sahii dard-o-aazaar sahii, jabr sahii, Gham hi sahii lekin is dard-o-Gham-o-jabr kii vus’at ko to dekh zulm kii chhaaNv meiN dam toRtii Khalqat ko to dekh apnii mayoos umaNgoN ka fasaanaa na sunaa merii naakaam muhabbat ki kahaanii mat chheR jalsa-gaahoN meiN ye vahshat-zadah sahme aNboh rahguzaaroN pe falaakat zadah logoN ke giroh bhook aur pyaas se paz-murdah siyaah-faam zamiiN teerah-o-taar makaaN, muflis-o-beemaar makeeN nau’e-insaaN meiN ye sarmaayaa-o-mehnat ka tazaadd aman-o-tahzeeb ke parcham tale qaumoN ka fasaad har taraf aatish-o-aahan ka ye sailaab-e-azeem nit naye tarz pe hoti huii duniyaa taqseem lahlahaate hue khetoN pe javaani ka samaaN aur dahqaan ke chhappaR meiN na battii na dhuaaN ye falak-bos mileiN, dilkash-o-seemeeN baazaar ye Ghalaazat ye jhapaT_te hue bhooke baazaar door saahil pe vo shaffaaf makaanoN ki qataar sarsaraate hue pardoN meiN simaT_te gulzaar dar-o-deevaar pe anvaar ka sailaab ravaaN jaise ik shaayar-e-madhosh ke KhwaaboN ka jahaaN ye sabhii kyoN hai ye kyaa hai, mujhe kuchh sochne de kaun insaaN ka Khudaa hai, mujhe kuchh sochne de apni maayuus umangoN ka fasaanaa na sunaa merii naakaam muhabbat ki kahaanii mat chheR Glossary: talKh = bitter dard-o-aazaar = pain and troubles jabr = opression dard-o-Gham-o-jabr = pain, sorrows and opression vus’at = open space, big open space Khalqat = the world jalsa-gaahoN = the places of celebrations vahshat-zadah = inflicted with fear aNboh (or amboh) = crowd, mob rahguzaaroN = roads falaakat-zadah = mistry struck, evil struck giroh = crowd, mob paz-murdah = withered, decayed siyaah-faam = blackened teerah-o-taar = dark makaaN = houses muflis-o-beemaar = poor and sick makiiN = residents nau’e-insaaN = mankind sarmaayaah = reward mehnat = work tazaadd = contradiction, inconsistency aman-o-tehzeeb = peace and civilization parcham = flag qaumoN = sects fasaad = fights, arguments aatish-o-aahan = fire and iron sailaab-e-azeem = great flood tarz = fashion, style of conduct, manner of way taqseem = division dahqaan = villager falak-bos = kissing the skies mileiN = mills dilkash-o-seemeeN = beautiful and delicate (seemeeN means made of silver) Ghalaazat = roughness, rudeness shaffaaf = clear… (white / clean?) qataar = line anvaar = light |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:36 AM
Post
#20
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Fankaar
maiN ne jo geet tire pyaar ki Khaatir likkhe aaj un geetoN ko baazaar meiN le aayaa houN aaj duukaan pe neelaam uThegaa un kaa tu ne jin geetoN pe rakhii thii muhabbat kii asaas aaj chaandi ke taraazoo meiN tulegii har cheez mere afkaar, miri shaayari mera ahsaas jo tirii zaat se mansoob the un geetoN Ko muflisii jins banaa ne pe utar aayii hai bhook tere ruKh-e-raNgeeN ke fasaanoN ke ‘evaz chaNd ash’yaay-e-zaroorat ki tamannaaii hai dekh is ‘arsaagah-e-mahnat-o-sarmaayaa meiN mere naGhme bhi mire paas nahiiN rah sakte tere jalve kisii zardaar kii meeraas sahii tere Khaake bhi mire paas nahiiN rah sakte aaj un geetoN ko baazaar meiN le aayaa houN maiN ne jo geet tire pyaar kii Khaatir likkhe Glossary: asaas = foundation afkaar = thoughts, creations zaat = personality mansoob = related muflisii = poverty jins = things ‘evaz = in exchange arsaagah-e-mahnat-o-sarmaayaa = this battlefield of labour and wealth zardaar = rich man meeraas = property - estate Khaake = sketches |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:38 AM
Post
#21
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
kabhii kabhii mere dil meiN Khayaal aataa hai
k zindagii tirii zulfoN ke narm chaaoN meiN guzarne paati to shaadaab ho bhi saktii thii ye teeragi jo miri zeest ka muqaddar hai tirii nazar ki shu’aaoN meiN kho bhi sakti thii ajab na thaa k maiN begaana-e-alam ho kar tirii jamaal ki ra’anaaiyoN meiN kho rahtaa tiraa gudaaz badan terii neembaaz aaNkheiN inheeN haseen fasaanoN meiN mahv ho rahtaa pukaarti mujhe jab talKhiyaaN zamaane ki tire laboN se halaavat ke ghooNT pee letaa hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur maiN ghaneri zulfoN ke saaye meiN chhup ke jee letaa magar ye ho na sakaa aur ab ye ‘aalam hai k tuu nahiiN tira Gham , teri justajoo bhi nahiiN guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise ise kisii ke sahaare ki aarzoo bhi nahiiN zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa chukaa houN gale guzar rahaa houN kuchh anjaani rah-guzaaroN se muheeb saaye mirii samt baRhte aate haiN hayaat-o-maut ke purhaul KhaarzaaroN se na koii jaadaa, na manzil, na roshnii ka suraag bhaTak rahii hai KhalaaoN meiN zindagii meri inhii KhalaaoN meiN rah jaaouNgaa kabhii kho kar maiN jaantaa houN mirii ham nafas magar yuuN hi kabhi kabhi mere dil meiN Khayaal aataa hai Glossary: shaadaab = pleasant, agreeable teeragi = darkness zeest = life shu’aaoN = light, rays, brightness begaana-e-alam = stranger to the world jamaal = beauty ra’anaayioN = elegance gudaaz = gentle, tender neembaaz = half open mahv = drowned talKhiyaaN = bitterness halaavat = sweetness hayaat = life barhanaa = naked muheeb = dreadful samt = towards hayaat-o-maut = life and death purhaul = full of deceit, might KhaarzaaroN = a place full of thorns jaada = road KhalaaoN = darkness hamnafas = companion |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:40 AM
Post
#22
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Dukh aur sukh ke raaste
dukh aur sukh ke raaste, bane haiN sab ke vaaste jo Gham se haar jaaoge, to kis tarah nibhaaoge Khushi mile hameiN ke Gham, jo hogaa baaNT leiNge ham mujhe tum aazmaao to zaraa nazar milaao to ye jism duur haiN magar, diloN meiN faaslaa nahiiN jahaaN meiN aisa kaun hai, k jisko Gham milaa nahiiN tumhaare pyaar kii qasam, tumhaaraa Gham hai meraa Gham na yuuN bujhe bujhe raho, jo dil kii baat hai kaho jo mujh se bhii chhupaaoge, to phir kise bataaoge maiN koi Ghair to nahiiN, dilaaouN kis tarah yaqeeN k tumse maiN judaa nahiiN, mujh se tum judaa nahiiN |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:41 AM
Post
#23
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Gurez
Mira junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah shikast ho gayaa tera fasoon-e-zebaaii un aarzooN pe chhaii hai gard-e-maayoosi jinhoN ne tere tabassum meiN parvarish paaii fareb-e-shauq ke raNgeeN talism TuuT gaye haqeeqatoN ne havaadis se phir jalaa paayii sukoon-o-Khwaab ke parde sarakte jaate haiN damaaGh-o-dil meiN hai vahshat ki kaar-farmaaii vo taare jin meiN muhabbat ka noor taabaaN thaa vo taare Doob gaye le ke raNg-o-raa’naaii sulaa gayii thiiN jinheiN teri multafat nazreiN vo dard jaag uThe phir se le kar aNgRaaii ajeeb aalam-e-afsurdagii hai roo ba-faroGh na ab nazar ko taqaazaa na dil tamannaaii tiri nazar, tire gesu, tiri jabeeN, tire lab mirii udaas tabee’yat hai sab se uktaaii maiN zindagii ke haqaa’iq se bhaag aaya thaa k mujh ko Khud meiN chhupaa le tiri fusooN-zaaii magar yahaaN bhi ta’aqub kiyaa haqaa’iq ne yahaaN bhi mil na sakii jannat-e-shakeb’aaii har ek haath meiN le kar hazaar aa’eene hayaat baNd dareechoN se bhi guzar aayii mire har ik taraf se ek shor gooNjaa hai aur us meiN Doob gayii ishratoN ki shahnaaii kahaaN talak koii zindah haqeeqatoN se bache kahaaN talak kare chhup chhup ke naGhma pairaaii voh dekh saamne ke pur-shikvaa aivaaN se kisii kiraaye kii laRkii kii cheeKh Takraaii voh phir samaaj ne do pyaar karne vaaloN ko sazaa ke taur pe baKhshii taveel tanhaaii phir ek teerah-o-taareek jhoNpaRii ke tale sisakte bachche pe bevaah kii aaNkh bhar aaii voh phir bikii kisii majboor kii javaaN beTii voh phir jhukaa kisii dar pe Gharoor-e-barnaaii voh phir kisaanoN ke majmooa’ pe gun-mashiinoN se haqooq yaaftaa tabqe ne aag barsaaii sakoot-e-halqa-e-zindaaN se ek goooNj uThii aur us ke saath mire saathiyoN kii yaad aayii nahiiN nahiiN mujhe youN multafat nazar se na dekh nahiiN nahiiN mujhe ab taab-e-naGhmaa pairaaii miraa junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah shikast ho gayaa teraa fasoon-e-zebaaii Glossary: zavaal-aamaadah = ready for failure, leading towards decline fasoon-e-zebaai = beautiful, elegant charm or magic-spell gard-e-maayoosii = the dust of hopelessness tabassum = smile parvarish paaii = raised fareb-e-shauq = the tricks of love talism = magic-spells haqeeqatoN = realities hawaadis = plural of “haadsaa”–> events jalaa paaii = received brilliance sukoon-o-Khwaab = peace and dreams kaar-farmaaii = administration, supervision taabaaN = glittering, shining raa’naaii = beauty multafat = politeness, kindness afsurdagi = sadness roo ba-faroGh = in face with all splendour and brightness taqaazaa = urgency, demanding, pressing gesuu = hair jabeeN = forehead tabee’yat = nature, disposition uktaaii = fed up haqaa’iq = realities, truths fusooN-zaaii = the manifestation of enchantment (za’aii in Persian means “manifest”) ta’aqub = Following, pursuit; persecution jannat-e-shakeb’aaii = peace .. the heaven of peace hayaat = life ishratoN = luxury naGhma-pairaaii = adorning songs, decorating with songs pur-shikvaa = full of complaints aivaaN = halls, galleries taveel = long teerah-o-taareek = obscure and dark bevaa = widow Gharoor-e-barnaaii = the youthful pride, young pride majmooa’ = collection gun-mashiinoN = machine-guns haqooq = rights yaafta = founders haqooq-yaafta = those who attained their rights tabqe = degree, ranks, orders sakoot = silence halqah = circle, fraternity, company, assembly zindaaN = prison sakoot-e-halqah-e-zindaaN = the silences of the imprisonned fraternity (or the silence inside the prison) taab-e-naGhmaa-pairaaii = the patience or strength to decorate with songs |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:42 AM
Post
#24
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Chakley
ye kooche ye neelaam ghar dil_kashi ke ye luT_te hue kaarawaaN zindagii ke kahaaN haiN, kahaaN haiN muhaafiz Khudi ke? sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN? ye pur-pech galiyaaN, ye be-Khwaab baazaar ye gumnaam raahii, ye sikkoN ki jhaNkaar ye ismat ke saude, ye saudoN pe takaraar sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN? ta’affun se pur neem-roshan ye galiyaaN ye maslee hui adh-khilee zard kaliyaaN ye bikati hui khokalii rang-raliyaaN sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN? vo ujale dareechoN meiN paayal ki chhan-chhan tanaffus ki uljhan pe tabale ki dhan-dhan ye be-ruuh kamroN meiN khaaNsii kii Dhan-Dhan sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN? ye guuNje hue qah-qahe raastoN par ye chaaroN taraf bheeR si khiRkiyoN par ye aawaazeN khiNchate hue aaNchaloN par sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN? ye phuuloN ke gajare, ye peekoN ke chheeNTe ye be-baak nazreN, ye gustaaKh fiqare ye Dhalake badan aur ye madqooq chehare sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN? ye bhuukii nigaaheN haseenoN ki jaanib ye baRate hue haath seenoN ki jaanib lapakate hue paaNv zeenoN ki jaanib sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN? yahaaN peer bhii aa chuke haiN jawaaN bhi tanuumand beTe bhi, abbaa miyaaN bhi ye biwi bhi hai aur behan bhi hai, maaN bhi sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN? madad chaahti hai ye hawwaa ki beTi yashodaa ki ham-jins raadhaa ki beTi payaMbar ki ummat zulaiKhaa ki beTi sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN? zaraa mulk ke raahbaroN ko bulaao ye kuuche ye galiyaaN ye maNzar dikhaao sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq ko laao sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN? Glossary: kooche = streets neelaamghar = auction houses muhaafiz Khudi ke = the protectors of pride sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq = those who praise the pious eastern ways be-khwaab = sleep-less ismat = pride, honour takaraar = fights, arguments ta’affun = bad smell, stink pur = full of neem-roshan = dimly lit zard = yellowing tanaffus = breaths (life) be-ruuh = soul-less qah-qahe = laughters madqooq = diseased jaanib = towards zeenoN = stairs peer = old, wise tanuumand = healthy, fit ham-jins = breed payaMbar = prophet ummat = race raahbaroN = leaders |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:45 AM
Post
#25
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Taaj Mahal
taaj tere liye ik mazhar-e-ulfat hi sahii tujh ko is vaadii-e-rangeeN se aqeedat hii sahii merii mehboob kahiiN aur milaa kar mujh se! bazm-e-shaahii meiN GhariiboN kaa guzar kyaa ma’anii sabt jis raah pe hoN satwat-e-shaahii ke nishaaN us pe ulfat bharii ruuhoN kaa safar kyaa ma’anii merii mehboob pas-e-pardaa-e-tash_heer-e-vafaa tu ne satwat ke nishaanoN ko to dekhaa hotaa murdaa shaahoN ke maqaabir se behalne vaalii apne taareek makaanoN ko to dekhaa hotaa anginat logoN ne duniyaa meiN muhabbat kii hai kaun kahtaa hai ki saadiq na the jazbe un ke lekin un ke liye tash_heer kaa saamaan nahiiN kyuuN ke vo log bhii apnii hii tarah muflis the ye imaaraat-o-maqaabir ye faseeleN, ye hisaar mutla-qulhukm shahanshaahoN kii azmat ke sutuuN daaman-e-dahar pe us rang kii gulkaarii hai jis meN shaamil hai tire aur mire ajdaad kaa KhuuN merii mehboob! uNheiN bhii to muhabbat hogii jinakii sannaa_ii ne baKhshii hai ise shakl-e-jameel un ke pyaaroN ke maqaabir rahe benaam-o-namuud aaj tak un pe jalaa_ii na kisii ne qaNdeel ye chamanzaar ye jamunaa kaa kinaaraa ye mahal ye munaqqash dar-o-deevaar, ye mehraab ye taaq ik shahanshaah ne daulat ka sahaaraa le kar ham GhariiboN kii muhabbat kaa uRaayaa hai mazaaq meri mehboob kahiiN aur milaa kar mujh se! Glossary: mazhar-e-ulfat = symbol of love vaadii-e-rangeeN = beautiful valley, spot. aqeedat = respect, reverence bazm-e-shaahii = royal courts sabt = etched satwat-e-shaahii = royal grandeur pas-e-parda-e-tash_heer-e-vafaa = behind the veil of this advertisement of love satwat = grandeur, wealth maqaabir = tombs taareek = dark saadiq = true tash_heer = advertisement muflis = poor hisaar = forts mutla-qulhukm = arrogant, selfish azmat = greatness sutuuN = symbols daaman-e-dahar = on the face of this world gulkaari = flowers and vines ajdaad = ancestors sannaa_ii = artistry shakl-e-jameel = beautiful form benaam-o-namuud = without name or a trace qandeel = candle chamanzaar = garden munaqqash = picturesque |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:45 AM
Post
#26
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Sarzameen-e-yaas
jeene se dil bezaar rahe har saaNs ik aazaar rahe kitnii hazeeN hai zindagii andohageeN hai zindagii vo bazm-e-ehbaab-e-watan vo ham-navaayaan-e-watan aate haiN jis dam yaad ab karte haiN dil naashaad ab guzrii huii raNgeeniyaaN khoii huii dilchaspiyaaN pahroN rulaati haiN mujhe aksar sataati haiN mujhe vo zamzame vo chahchahe vo rooh-afzaa qahqahe jab dil ko maut aayi na thii yuuN be-hisii chhaii na thii ‘kaalij’ ki raaNgeeN vaadiyaaN vo dil-nisheeN aabaadiyaaN vo naazneenaan-e-watan zohra-jabeenaan-e-watan jin meiN se ik raNgeeN qabaa aatish nafas, aatish navaa kar ke muhabbat aashnaa raNg-e-aqeedat aashnaa mere dil-e-naakaam ko KhooN gashta-e-aalaam ko daaGh-e-judaaii de gayii saarii Khudaaii le gayii un sa’atoN ki yaad meiN un raahatoN ki yaad meiN maGhmoom sa rahtaa houN maiN Gham ki kasak sahtaa houN maiN suntaa houN jab ehbaab se qisse Gham-e-ayyaam ke betaab ho jaataa houN maiN aahoN meiN kho jaataa houN maiN phir vo azeez-o-aqrabaa jo toR kar ahd-e-vafaa ehbaab se muNh moR kar duniyaa se rishtaa toR kar hadd-e-ufaq se us taraf raNg-e-shafaq ke is taraf ik vaadii-e-Khaamosh kii ik aalam-e-behosh kii gahraayioN meiN so gaye taareekiyoN meiN kho gaye unkaa tasavvur naagahaaN letaa hai dil meiN chuTkiyaaN aur khooN rulaataa hai mujhe be-kal banaataa hai mujhe vo gaaoN ki hamjoliyaaN maflook dahqaaN zaadiyaaN jo vast-e-fart-e-yaas se aur yorish-e-aflaas se ismat luTaa kar rah gayiiN Khud ko gaNvaa kar rah gayiiN GhamgeeN javaani ban gayiiN rusvaa kahaani ban gayiiN un se kabhii galiyoN meiN ab hotaa houN maiN do-chaar jab nazreiN jhukaa letaa houN maiN Khud ko chhupaa leta houN maiN kitnii hazeeN hai zindagii andohageeN hai zindagii Glossary: bezaar = disgusted, displeased, sick of aazaar = harm, illness hazeen = sad andohageeN = grief strucken bazm = gathering ehbaab = friends ham-navaayaan-e-watan = the country of companions naashaad = sad zamzame = singings, concerts rooh-afzaa = exhilarating be-hisii = senselessness kaalij = College naazneenaan-e-watan = the country of delicate women zohra-jabeenaan-e-watan = the country of those with beautiful foreheads qabaa = dress aatish = fire nafas = breath navaa = sound aashnaa = acquaintance raNg-e-aqeedat = the color of faith, firm belief KhooN gashta-e-aalaam = the world of returning blood… daaGh-e-judaai = the mark of seperation sa’atoN = moments maGhmoom = sad, sorrowful kasak = pain Gham-e-ayyaam = times of sadness, days of sorrows azeez-o-aqrabaa = the near and dear ahd-e-vafaa = the promises of love hadd-e-ufaq = limits of horizon raNg-e-shafaq = the colors of evening twilight taareekiyoN = nights, darkness tasavvur = thought naagahaaN = accidently bekal = useless maflook = distressed, indigent, beggarly dahqaaN = villagers zaadiyaaN = offsprings vast-e-fart-e-yaas = the middle of a wave of sadness yorish-e-aflaas = storm of poverty ismat = chastity, honor |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:47 AM
Post
#27
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Dil Abhi
zindagi se uns hai husn se lagaav hai dhaRkanoN meiN aaj bhi ishq ka lagaav hai dil abhi bujhaa nahiiN raNg bhar rahaa houN maiN Khaaka-e-hayaat meiN aaj bhi houN munhamik fikr-e-kaainaat meiN Gham abhii luTaa nahiiN harf-e-haq azeez hai zulm naagavaar hai ahd-e-nau se aaj bhi ahd-e-astvaar hai maiN abhi maraa nahiiN Glossary: uns = love Khaaka-e-hayaat = the drawing (map) of life munhamik = absorbed, engaged fikr-e-kaainaat = thoughts, worries of world harf-e-haq = the truthful letter, letter of truth ahd-e-nau = the new time ahd-e-astvaar = better time |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:48 AM
Post
#28
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Naakaami
maiN ne har chand gham-e-ishq ko khona chaahaa gham-e-ulfat , gham-e-duniyaa meiN samonaa chaahaa vahii afsaane mirii samt ravaaN haiN ab tak vahii sho’ole mire seene meiN nihaaN haiN ab tak vahii besood Khalish hai mire seene meiN hanoz vahii bekaar tamannayeiN javaaN haiN ab tak vahii gesuu mirii raatoN pe haiN bikhre bikhre vahii aaNkheiN merii jaanib nigraaN haiN ab tak kasrat-e-gham bhi mere gham ka mudaavaa na hua mere bechain KhayaaloN ko sakuuN mil na sakaa dil ne duniyaa ke har ik dard ko apnaa to liyaa muzmahil rooH ko andaaz-e-juNuuN mil na sakaa merii takh’eel kaa sheraazaa-e-barham hai vahii mere bujhte hue ahsaas kaa aalam hai vahii vahii be-jaan iraade vahii be-raNg savaal vahii be-rooh kasha-kash, vahii be-chain Khayaal aah us kashmakash-e-subah-o-masaa kaa anjaam maiN bhii naakaam, mirii saii-e-amal bhii naakaam Glossary : samt= towards nihaaN = hidden besood = useless Khalish = burning hunoz = still nigraaN = care-taker kasrat-e-gham = the excess of sorrows mudaavaa = cure muzmahil = weak, exhausted, fatigued takh’eel = imagination sheeraza-e-barham = spoiled or jumbled book binding (basically, scattered pages) kashaakash = pulling kash-ma-kash-e-subah-o-masaa = this confusing morning and evening sai’-e-amal = the attempt at something |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:49 AM
Post
#29
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Khoobsoorat moR
chalo ik baar phir se ajnabii ban jaayeiN ham donoN! na maiN tum se koii ummeed rakhouN dil-navaazii kii na tum meri taraf dekho Ghalat-andaaz nazroN se na mere dil kii dhaRkan laRkhaRaaye merii baatoN meiN na zaahir ho tumhaari kash-ma-kash kaa raaz nazroN se tumheiN bhi koii uljhan roktii hai pesh-qadmii se mujhe bhi log kahte haiN k ye jalve paraaye haiN mere hamraah bhii rusvaaiyaaN haiN mere maazii kii tumhaare saath bhii guzrii huii raatoN ke saaye haiN ta’arruf rog ho jaaye to usko bhoolna behtar ta’alluq bhoj ban jaaye to usko toRna achchhaa vo afsaanaa jise aNjaam tak laanaa na ho mumkin use ik Khoobsoorat moR dekar chhoRnaa achchha chalo ik baar phir se ajnabii ban jaayeiN ham donoN Glossary: pesh-qadmi = making a move maazii = past ta’arruf = acquaintance (to know someone) ta’alluq = relation (with someone) afsaanaa = story anjaam = end, result |
HarshBhatt |
Feb 1 2008, 07:50 AM
Post
#30
|
Dedicated Member Group: Members Posts: 1733 Joined: 28-December 06 Member No.: 8788 |
Sochtaa houN
sochtaa houN k muhabbat se kinaaraa kar louN dil ko begaana-e-tarGheeb-o-tamanna kar louN sochtaa houN k muhabbat hai junoon-e-rusvaa chaNd bekaar se behooda KhyaaloN kaa hujoom ek aazaad ko paabaNd banaane kii hawas ek begaane ko apnaane kii sa’ii-e-mauhoom sochtaa houN k muhabbat hai suroor-o-mastii iskii tanweer se roshan hai fazaa-e-hastii sochtaa houN k muhabbat hai bashar kii fitrat iska miT jaanaa, miTaa denaa bahut mushkil hai sochtaa houN k muhabbat se hai taabiNdaa hayaat aap ye shamma’ bujhaa denaa bahut mushkil hai sochtaa houN k muhabbat pe kaRii sharteiN haiN is tamaddun meiN masarrat pe baRii sharteiN haiN sochtaa houN k muhabbat hai ik afsurdaa sii laash chaadar-e-izzat-o-naamoos meiN kafnaaii huii daur-e-sarmaayaa kii roNdii huii rusvaa hastii dargah-e-mazhab-o-iKhlaaq se Thukraaii huii sochtaa houN k bashar aur muhabbat ka junooN aise boseeda tamaddun se hai ik kaar-e-zubooN sochtaa houN k muhabbat na bachegi zindaa pesh-az-waqt k saR jaaye ye galtii huii laash yahii behtar hai k begaana-e-ulfat hokar apne seene meiN karouN jazba-e-nafrat kii talaash aur sauda-e-muhabbat se kinaaraa kar louN dil ko begaanaa-e-tarGheebo-o-tamanna kar louN Glossary: begaana-e-tarGheeb-o-tamanna = devoid of wishes and incitements junoon-e-rusvaa = dishonoured or disgraced lunacy hujoom = crowd .. gathering paabaNd = captured sa’ii-e-mauhoom = imaginary attempt suroor-o-mastii = intoxication and fun tanweer = light fazaa-e-hastii = the environment of existence fitrat = nature taabiNda = shining hayaat = life tamaddun = culture masarrat = happiness afsurdaa = sad chaadar-e-izzat-o-naamoos = a cover of fame and honour kafnaaii = covered (as in a dead body) dargah-e-mazhab-o-iKhlaaq = religious and moral shrine bashar = man boseeda = rotten kaar-e-zubooN = immoral act pesh-az-waqt = before this happens begaana-e-ulfat = a stranger from love jazba-e-nafrat = hateful emotions sauda-e-muhabbat = the business of love |
Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | | Time is now: 1st November 2024 - 05:21 AM |