Gham-E-Zindagi Teri Raah Mein, Shab-E-Aarzoo Teri Chah Mein,
Jo Ujar Gaya Wo Basaa Nahi, Jo Bichar Gaya Wo Mila Nahi.
Jo Dil-O-Nazar Ka Saroor Tha, Mere Paas Reh Ke Bhi Door Tha,
Wohi Ek Gulaab Umeed Ka Meri Shaakh-E-Jan Pe Khila Nahi.
Mera Hamsafar Jo Ajeeb Hay, To Mein Bhi Huun Ajeeb Tar,
Use Manzilon Ki Khabar Nahi Mujhay Raston Ka Pata Nahi.
Pas-E-Karwaan,
Sar-E-Rehguzar,
Mein Hara Hon To Ees Liye,
Ke Qadam To Sab Se Mila Liye, Mera Dil Kisi Se Mila Nahi
USR
Meri Zindagi Tere Pyaar Mein
Ham Kahaan-Kahaan Se Guzar Gaye,
Mere Dil Se Aayii Teri Sadaa
Ham Jahaan-Jahaan Se Guzar Gaye.
Mere Dil Ne Dhundha Jagah-Jagah
Ki Pataa Tumhara Nahiin Chalaa,
Phirey Ham Bhi Teri Talaash Mein
Gul-E-Aarzuu To Nahiin Khilaa,
Jahaan Aftaab Na Jaa Sake
Ham Vahaan-Vahaan Se Guzar Gaye.
Tuu Hazaar Pardon Mein Ho Kahiin
Tujhe Paa Ke Maanenge Ek Din,
Tuu Kahiin Rahe Tuu Kahiin Chhupe
Tujhe Laa Ke Maanenge Ek Din,
Hamen Maut Kaa Koii Dar Nahiin
Tere Aastaan Se Guzar Gaye.
Mere Dil Se Niklaa Hai Geet Jo
Tu Sune To Phir Koii Baat Hai,
Tuu Jhalak Dikhaa Tuu Nazar To Aa
Merii Har Duaa Tere Saath Hai,
Tujhe Dekh Len Isii Shauq Mein
Gam-E-Do-Jahaan Se Guzar Gaye.
....Hasrat
Powered by Invision Power Board (http://www.invisionboard.com)
© Invision Power Services (http://www.invisionpower.com)