Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Muhobbat Ne Aye Dil Kahaan Laa Ke Maara : Do Jhoot

, MG HASHMAT , Shankar jaikishan, manna - mahendra usha

 
 
Reply to this topicStart new topic
> Muhobbat Ne Aye Dil Kahaan Laa Ke Maara : Do Jhoot, MG HASHMAT , Shankar jaikishan, manna - mahendra usha
oye_sonu
post Mar 9 2009, 01:32 AM
Post #1


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2682
Joined: 24-June 05
From: Wahan, jahan pyar mile :-) !
Member No.: 2547



Posting one very nice Qawwali from Do jhoot. written by MG hashmat saab. This qawwali is written w r t movie(scene) but I liked few lines in it , specially " muhobat ne aye dil kaha laa kar maara.

Songs mein lyrics film ya characters ke hisaab se likhe jaate hain. phir bhi hum log apne matlab ka kuchh bhi samaan(lines tongue1.gif ) mil jaaye to ussi ke liye song ko pasand karne lagte hain.
For eg sad songs might be written on lovebirds in movie but we do play them even if we are sad due to some financial losses or fight with some frd or brother !!
(I will start a thread on such one liners from songs)

Do jhoot ki ye Qawwali bhi kuchh aise hi songs mein aati hai. Very nicely executed Shankar jaikishan Qawwali. Very good use of dholak( in qawwali style). For me its one of the best SJ qawwalis.
Lyrics by Hashmat saab are very good. lyrics are one big reason for liking this song !. Song mein sabhi apna kissa suna rahe hain ki kaise dono ko muhobbat ne kahin ka na chhoda !


Song can be downloaded at following link

http://www.divshare.com/download/6752587-974

I have tried to write the lyrics. agar mko mistakes ho to batana !


Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara



Manna :
Haaye raatein bhi guzaari din bhi gaye
Mehboob se mil na paaye hum
Is shauq mein saari umer gayi
Mashooq se mil na paaye hum
Jinhe chaaha nahi
O jinhe chaaha nahin , wo milte rahe
Matloob se mil na paaye hum

O...
Wo zulfon ki chilman nazar ka ishaara
Wo zulfon ki chilman nazar ka ishaara
Bahut dhoondha humne
Bahut dhoondha humne humne
Bahut dhoondha humne mila na dubara
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara, aye
Chorus :
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara
Mahendra :
Aankhon se dekha adaon se maara
Aankhon se dekha adaon se maara
Nigaahon ka khanjar jigar mein utaara
Manna- Mahendra :
Nigaahon ka khanjar jigar mein utaara
Chorus :
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara ( Manna : Aa..)
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara ( Manna : Aa..)

Manna :
Hoye..
Sharam ka wo parda hayya ka wo aanchal
Sarakte sarakte kiya usne paagal
Mahendra :
Lachakti kamar pe suraahi si gardan
Labon ka tabassumm adaayein wo qaatil
Wo haathon pe khoon-e-jigar ka nazaara
Manna - Mahendra :
Haaye ..Wo haathon pe khoon-e-jigar ka nazaara
Chorus :
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara ( Manna : Aa..)
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara ( Manna : Aa..)

Mahendra :
Humse to achhi hai ye, kaanon ki baali ( Manna :Haaye )
Jo gaalon ko chhoo ke, bajaati hai taali ( Manna :Haaye )
Zara paas aa ke pilaaye nazar se
Bahut der se jaam dil ka hai khaali
Are kareeb to aao jan-e-man !
Usha :
Are kamar(?) se wo hai dil ki bimaari
Har ek naajni ko lagti hai pyaari
Haaye haaye karke ye padte hain peechhe
Ye dil ke deewane , husn ke bhikaari ( Manna : Haaye)
Kaleja pakad ke kisi ne pukaara
Chorus :
Kaleja pakad ke kisi ne pukaara
Manna :
Haaye muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara
Chorus :
Kahaan la ke maara ( Manna : O maara)
Kahaan la ke maara ( Manna : Haaye maara)
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara

Manna :
Haaye...
Raatein bhi guzari din bhi gaye
Mehboob se mil na paaye hum
Is shauq mein saari umer gayi
Mashooq se mil na paaye hum
Jinhe chaaha naahin wo milte rahe
Matloob se mil na paaye hum
Ek baar mila tha raste mein
Anjaan nigaahon ne dekha
Jab raat hui to khaabon mein
Usse pyaar ki baanhon mein dekha
Koi yaar bhi aisa mil na saka
Jo khabar usse pahoncha deta
O..Ansoon bhi pee ke hua na guzaara
Hua na guzaara
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara

Manna - Chorus :
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara, maara
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara

Usha :
Ek baar mila anjaane mein
Ek nazar mili anjaan hui
Phir nashe mein dooba paaya to
In nazaron ko pehchaan hui
Wo gairon ke ghar sota hai
Uska na koi thikaana hai
Wo pyar ko kya pehchaanega
Jiski manzil maikhaana
Jisse humne chaaha
Wo nikla awaaara
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara

Manna - Chorus :
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara, maara
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara
Manna :
Aa...Aa..
Aisa mat socho jaan-e-man
Hum tum pe jaan lutadenge
Teri wafa ke saanche mein dhal kar
Is ishq ko amar bana denge
Hum tere husn ke jalwon ke saroor mein aksar rehte hain
Bas isi liye duniya waale sharabi humein kehte hain
Hum sadak pe jhoom ke chalte hain
Chalte chalte ruk jaate hain
Koi tere jaisa mile tere naam se use bulaate hain
( good one !)
O.. Tere ishq mein sar phira hai hamaara
Tere ishq mein sar phira hai hamaara
Sirf tu hai duniya mein qaaatil hamaara
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara
Chorus :
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara
Kahaan la ke maara ( Manna : Oye maara)
Kahaan la ke maara ( Manna : Haaye maara)
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara ( Manna : O..)
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara ( Manna : O..)
Muhobbat ne aye dil kahaan laa ke maara ( Manna : O..)

This post has been edited by oye_sonu: Mar 9 2009, 01:36 AM

forgive me if I miss replying or reading ur post............bit busy :-( !
Duniya ne kitna samjhaya, kaun hai apna kaun paraya
Phir bhi dil ki chot chhupa kar humne aapka dil behalya
Khud hi mar mitne ki ye zid hai hamaari......
sach hai duniya waalon hum hain anari !

......back to basics!!!

My artists :-
Shankar Jaikishan- Composers with magical touch !!

This year we CELEBRATE 60 years of Shankar Jaikishan music . come join the celebrations !
Join the SJ fans group for more information :
http://launch.groups.yahoo.com/group/shankarjaikishan/

Join FACEBOOK shankar jaikishan group

http://www.facebook.com/group.php?gid=123537751015751
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

Reply to this topicStart new topic
2 User(s) are reading this topic (2 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 29th April 2024 - 01:27 PM