Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Shamshad Begum-- Aaj Ke Fankar

 
 
Reply to this topicStart new topic
> Shamshad Begum-- Aaj Ke Fankar
sbfan
post Oct 7 2005, 09:34 PM
Post #1


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1091
Joined: 4-January 05
Member No.: 1475




Hi friends

Here is the transcript of aaj ke fankar program on shamshadji aired on Vivdh Bharti

Namaskaar, hamare aaj ke fankaar hain guzre zamaane ki suprasiddha
paarshwa gaayika Shamshad Begum.

Song: Saiyaan dil mein aana re (Bahar)

Shamshad Begum, jinki taarif mein sangeetkaar Naushad ne kahaa tha ki
unki awaaz mein Punjab ke daryaaon ki rawaani hai.1940, 50 aur 60 ke
dashakon mein Shamshadji ne apni awaaz ka jo jadoo bikhera hai, woh
aaj bhi hamare dilon ko machalne par majboor kar deta hai.

Song: Boojh mera kya naam re (CID)

Shamshad Begum, jinke geet us zamaane mein to behad mashoor huye hi
the, aaj ki peedhee bhi unke geeton ki remix par jhoom rahe hain.

Song: Kabhi aar kabhi paar (Aar Paar)

Shamshad Begum speaks: Daastaan yun hai ki mera janm Lahore mein 1919
mein huya, us samay ladkiyon ko jo zaroori taalim dee jaati thee,
mujhe bhi dee gayi. Gaane ka shauk ghar mein kisi ka bhi naheen tha
mere alaawa. Mere walid ghazlon ke shaukin the aur we mushayre mein
jaaya karte the. kabhi kabhi we mujhse ghazlen gaane ko bhi kehte
the. Master Ghulam Haider mere walid ke achchhe dost the. Ek baar
unhone meri awaaz suni aur unko meri awaaz pasand aa gayi. Masterji
ne ek recording company ke zariye mera pehla record nikalwa diya. 14
saal ki umra mein mera pehla gaana record huya jo tha "Haath joda lai
pakhiyanda oye kasam khuda di chanda". Us record company ne phir mere
100 records nikaale. 1937 mein main All India Radio Delhi ki artiste
ban gayi jahaan maine Pashto, Persian, Hindi, Urdu aur Punjabi mein
programmes pesh kiye. Par maine kabhi sangeet ki koi taalim naheen
lee. 1939 mein main Lahore aur Peshwar mein radio programmes karne
lagi.Pancholiji ne pehli baar mujhe playback ka mauka diya film Yamla
Jat mein, jismein mera geet "Aa sajna" kaafi hit huya tha. Meri pehli
Hindi film thee Mehboob sahab ki Taqdeer jo Nargis ki bhi pehli film
thee.Phir uske baad Pune ki ek film company ne Panna ke geet gawaaye.
Is tarah se ek ke baad ek offer aate gaye aur main Bambai mein bas
gayi.

Song: Holi aayi re kanhai (Mother India)

Shamshadji jis samay se taallukh rakhti hain, us zamane mein playback
singing ki shuruwaat naheen huyi thee, abhineta-abhinetri khud parde
par gaate the. Gayika banne ki chaahat ne Shamshaji ko screen test
dene par majboor kar diya aur woh usmein pass bhi ho gayeen, par unke
waalid sahab ko unka filmon mein abhinay karna pasand naheen tha.
Isliye apne shuruwaati dino mein Shamshadji gair filmi geet aur
ghazlen hi gaane lagee aur filmi geet gaane ke liye unhe playback ke
daud ka intezaar karna padaa. Kya aapko pataa hai apne career ki
shuruwaati samay mein Shamshadji ko barah rupay prati geet ke hisaab
se paise milte the.

Song: Door koi gaaye dhun yeh sunaaye (Baiju Bawra)

Shamshad Begum speaks: Mumbai mein Master Ghulam Haider sahab aa gaye
aur ek baar phir main unke saath kaam karne ka mauka mila. Hulchul,
Phool, Shama, Humayun, Chal Chal Re Naujawaan, wahrah mein maine
gaaye jo aaj ke zamaane mein nayaab ho gaye hain, par ek geet Humayun
ka main gaakar sunaati hoon.

Song: Naina bhar aaye neer (Humayun)

Yun to Shamshadji ne anek diggaj sangeetkaaron ke saath kaam kiya
jinmein shaamil hain C Ramchandra, Ghulam Mohammad, Shyam Sundar, S D
Burman aur Nashad, lekin jin teen sangeetkaaron ke liye unhone sabse
zyaada gaane gaaye woh hain Ghulam Haider, Naushad aur O P Nayyar.

Song: Kahin pe nigaahen kahin pe nishana (CID)

Shamshad Begum speaks: Sangeetkaar Naushad sahab ke saath maine kuch
16/17 filmon mein gaaye hain jaise Shajehan, Dard, Dulari, Mother
India, Mughal-e-azam, Deedar, Anmol Ghadi, Aan, Baiju Bawra, wagerah.
Mere paas unke khoobsurat geeton ka khazana hai. Log aaj bhi unke
music ke deewane hain. Mere stage shows mein log zyadatar unke geeton
ki hi farmaish karte hain.

Song: eri mehfil mein kismat aazmaakar hum bhi dekhenge (Mughal-e-
Azam)

Vividh Bharati se ek haal hi ki mulaaqaat mein jab humne unse poochha
ki apne geeton ke remix ko sunkar unki kya pratikriya huyi, unhone
kaha:

Shamshad Begum speaks: Mujhe remix se koi shikaayat naheen hai. aj
shor sharaba ka zamana hai, rhythm ka zamana hai, bachche log aise
geeton se khush hote hain, jhoomte hain. Mujhe bhi achchha lagta hai,
par koi in geeton mein hamara naam to den!!!

Song: Leke pehla pehla pyar (CID)

Ek jaani-maani gayika hone ke baawjood Shamshad Begum media se door
hi raheen. Unhone apna pehla stage show pachaas saal ki umra mein
pesh kiya. Apna pehla photo bhi Times of India ke liye unhone diya
isi dauraan. Film jagat se retirement lene ke baad aajkal woh apni
beti ke paas rehti hain. Woh bhale hi media aur public se door hain,
par unhone humein bataya ki woh ab bhi Naushad sahab aur O P Nayyar
sahab se telephone se sampark banaaye rakhti hain. Aur kyun na ho, in
do sangeetkaaron ke nirdeshan mein unhone apne jeevan ke sabse
lokpriya geet gaaye hain, jo aaj bhi utne hi lokpriya hain jo us
samay the. Leejiye suniye Kishore Kumar ke saath Shamshadji ka gaaya
film Naya Andaz ka yeh dilkash nagma, sangeet O P Nayyar ka.

Song: Meri neendon mein tum (Naya Andaz)

Vividh Bharati parivaar ki or se Shamshad Begum ko bahut bahut
shubhkaamnaayen. Ab yeh kaaryakram samaapt karne ki deejiye ijaazat,
namaskaar.

THE END


MERI NEENDON MEIN TUM
MERE KHWABON MEIN TUM

LONG LIVE SHAMSHAD BEGUM
IPB Image
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
sbfan
post Jan 11 2007, 02:30 PM
Post #2


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1091
Joined: 4-January 05
Member No.: 1475



anyone having audio of this... and second part

MERI NEENDON MEIN TUM
MERE KHWABON MEIN TUM

LONG LIVE SHAMSHAD BEGUM
IPB Image
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 29th March 2024 - 07:55 AM