Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Mujhe Sochne De - Sahir

 
 
Reply to this topicStart new topic
> Mujhe Sochne De - Sahir
noorie
post Jun 22 2007, 12:46 AM
Post #1


Dedicated Member
Group Icon

Group: Away
Posts: 3219
Joined: 21-June 06
Member No.: 6518



Mujhe Sochne De
-Sahir

Meri naakaam muhabbat ki kahaani mat chhed
Apni mayoos umangon ka fasana na suna

Zindagi talkh sahi, zahar sahi, sitam hi sahi
Dard-o-aazaar sahi, jabr sahi, gham hi sahi
Lekin is dard-o-gham-o-jabr ki vus’at ko to dekh
Zulm ki chhaanv mein dam todti khalqat ko to dekh

Apni mayoos umangon ka fasaana na suna
Meri naakaam muhabbat ki kahaani mat chhed

Jalsa-gaahon mein yeh vahshat-zadah sahme anboh
Rahguzaaron pe falaakat zadah logon ke giroh
Bhook aur pyaas se paz-murdah siyaah-faam zamin
Teerah-o-taar makaan, muflis-o-beemaar makeen
Nau’e-insaan mein yeh sarmaayaa-o-mehnat ka tazaad
Aman-o-tahzeeb ke parcham tale qaumon ka fasaad
Har taraf aatish-o-aahan ka yeh sailaab-e-azeem
Nit naye tarz pe hoti hui duniya taqseem
Lahlahaate hue kheton pe jawaani ka samaan
Aur dahqaan ke chhappad mein na batti na dhuan
Yeh falak-bos milein, dilkash-o-seemeen baazaar
Yeh ghalaazat ye jhapat_te hue bhooke bazaar
Door saahil pe woh shaffaaf makaanon ki qataar
Sarsaraate hue pardon mein simat_te gulzaar
Dar-o-deevaar pe anwaar ka sailaab ravaan
Jaise ik shaayar-e-madhosh ke khwaabon ka jahaan

Yeh sabhi kyon hai ye kya hai, mujhe kuchh sochne de
Kaun insaan ka khudaa hai, mujhe kuchh sochne de
Apni maayoos umangon ka fasana na suna

Meri naakaam muhabbat ki kahaani mat chhed !

IPB Image

"During times of universal deceit, telling the truth becomes a revolutionary act"

"You have enemies? Good! It means that you stood up for something, sometime in your life."
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
humble_rafi
post Jul 12 2007, 09:19 PM
Post #2


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2677
Joined: 29-January 05
Member No.: 1609



Typical Andaz-e-Sahir.It has beautiful expressed the dark side of our lives.

Thanks a ton.

I NEVER HEARD AN ANGEL SINGING,YES I HEARD MOHAMMED RAFI SAHAB.

I LOVE THEE RAFI SAHAB


Saanson Ki Maala Pay, Simron Main Pi Ka Naam......Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Sahab
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 28th April 2024 - 02:26 AM