Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Mukul Roy-geetaji's Music Director Brother

, filmography,uploads,links,requests

 
> Mukul Roy-geetaji's Music Director Brother, filmography,uploads,links,requests
smahesh
post Apr 1 2009, 09:45 AM
Post #1


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3354
Joined: 13-January 08
From: delhi
Member No.: 36984



hello friends,
here is filmography of ''Mukul Roy'' compiled from various sources.

1 1950-bhed,
2 1953-do bahadur,
3 1954 grihprobesh [bengali],
4 1956 sailaab,
5 1956 vidhata[gujrati],
6 1958 detective




regards,
mahesh
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
 
Reply to this topicStart new topic
Replies
hildebrand
post Apr 7 2009, 12:43 AM
Post #2


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 6729
Joined: 5-February 08
Member No.: 39973



Here is an excerpt I got of a recent Vividh bharti program on their yahoo group which was on Mukul Roy.

QUOTE

VBLC SANGEET KE SITAARE
------------ --------- --

EPISODE 16: MUKUL ROY
------------ ---------

VBLC Sangeet Ke Sitaare mein aap sabhi ka ek baar phir haardik swaagat hai. kamcharchit aur bhoole bisre fankaaron ko yaad karne ka yeh silsilaa jaari hai aur ham lagaataar aise kalaakaaron ki yaadon ko taazaa karte huye is shrinkhalaa mein aage baDhte chale jaa rahe hain. aaj bhi ham salaam karenge guzre zamaane ke ek bahut hi kamcharchit sangeetkaar ko. yeh sangeetkar kamcharchit isliye hain kyunki inhone keval 4 filmon mein hi sangeet diya hai. lekin yeh bhi haqeeqat hai ki keval 4 filmon ke sangeet ke dwaaraa hi woh aaj tak yaad keeye jaate hain. doston, yeh sangeetkaar bhale kamcharchit rahe hon lekin inki baDi bahan film jagat ki mahaan gaayikaa rahi hain. ab aap Khud hi andaazaa lagaaiye ki ham aaj kis sangeetkaar ki baat kar rahe hain. chaliye, agar yaad naheen aa raha hai to inkaa ek behad mashahoor geet sun leejiye, phir uske baad ham baat ko aage baDhaate hain.

------------ --------- --------- --------- --------- --------
Song: mujhko tum jo mile yeh jahaan mil gaya (Detective)
------------ --------- --------- --------- --------- --------

bangaal ke sumadhur sangeet ki jhalak aur saath hi paashchaatya 'waltz' ke 'rhythm' liye film Detective ka yeh sumadhur yugal geet tha Geeta Dutt aur Hemant Kumar ka gaaya huya. aur ab tak aap mein se bahut se shrotaaon ne andaazaa lagaa liya hogaa ki is sadaabahaar yugal-geet ke sangeetkaar the Mukul Roy. jee haan, hamaare aaj ke VBLC Sangeet Ke Sitaare hain sangeetkaar aur film nirmaataa Mukul Roy, jo film jagat ki suprasiddha paarshwa-gaayikaa Geeta Dutt ke baDe bhaai hain. aaj suniye inhi ke sangeet se saje filmon ke naGhmen aur in filmon se juDee kuchh baaten.

------------ --------- --------- ---------
Song: aa gayi aa gayi re raat (Sailaab)
------------ --------- --------- ---------

Mukul Roy ka janm bangaal ke Faridpur zile mein ek zamnidaar gharaane mein huya tha. yeh jagah ab Bangladesh ka hissa hai. 40 ke dashak ke aate aate us ilaake mein saampradaayik tanaav baDh chale the. apne parivaar ki salaamati ko dhyaan mein rakhte huye Mukul aur Geeta ke maataa pitaa apnaa saaraa gharbaar chhoDkar poore parivaar ke saath Bambai chale aaye. yahaan aakar Dadar mein ek chhoTe se do kamre-waale kiraaye ke ghar mein rehne lage. Faridpur mein apnaa saaraa kaam-kaaj aur dhan sampatti chhoD aane ke baad Mukul aur Geeta ke pitaa ko ek naye sire se apni aur apne parivaar ke zindagi ki shuruwaat karni thi.

------------ --------- --------- ----
Song: bhagwaan tere zulm ki (Bhed)
------------ --------- --------- ----

yeh tha S Balbir ka gaaya filmBhed ka geet. haan,t o ham baat kar rahe the Mukul aur Geeta ke shuruwaati dino ki. ghar mein bhaai bahanon ko geet sangeet ka shauk tha. lekin bahan ki qismat ka sitaaraa kuchh zyaadaa hi buland tha ki ek roz jab Geeta riyaaz kar rahi theen, to neeche se sangeetkaar Pt Hanuman Prasad guzar rahe the. unki aawaaz se woh itne mutaasir huye ki unhone Geeta ko apni film mein gawaane ka mauka de diya. is tarah se Geeta Roy film jagat mein aa gayeen aur aage chalkar ek kaamyaab paarshwagaayika bhi banee. yeh san 1946 ki baat hai. lekin Mukul Roy ke qismat mein woh shohrat naheen likhee thi. iske 4 saal baad, yaani ki 1950 mein Mukul Roy ko bhi film jagat mein parvesh karne ka mauka milaa jab Amba Chitra ke 'banner' tale ban rahi film Bhed mein unhe sangeet dene ka mauka milaa. is film mein unhone apni bahan Geeta Roy se kai gaane gawaaye, unmein se ek yahaan pesh hai.

------------ --------- --------- --------- ----
Song: dil bhi hanse main bhi hansoon (Bhed)
------------ --------- --------- --------- ----

kehte hain, "zindagi mein kuchh lamhe yaadgaar hote hain, yaadon mein kuchh log Khaas hote hain, yun to woh door hote hain nazaron se, par unke ahsaas dil ke kareeb hote hain". Mukul Roy ne apne sangeet se in geeton mein jo ahsaasaat bhare hain, woh aaj itne saalon ke baad bhi hamaare dil ke behad kareeb hain. aisa hi ek aur naGhmaa film Bhed kaa jise Geeta Roy ne gaayak Vinod Kumar ke saath milkar gaaya tha, yahaan aapko sunwaa rahe hain.

------------ --------- --------- ---------
Song: kaise keh doon ki koi mera (Bhed)
------------ --------- --------- ---------

film Bhed bani thi san 1950 mein. uske teen saal baad, yaani ki 1953 mein Mukul Roy ke sangeet se sajee doosri film aayi - Do Bahadur. Baghdad Pictures ke 'banner' tale bani yeh ek 'stunt film' thi jiske mukhya kalaakaar the John Cavas, Gold Stain aur Shanta Patel. naa yeh film chalee aur na hi iska sangeet. Do Bahadur film ke kisi geet ki jaankaari ham naheen juTaa paaye doston. Khair, is film ke aur 3 saal baad Mukul Roy film nirmaaN ke kshetra mein apnaa naseeb aazmaane ke liye apni gaayika bahan Geeta ke saath milkar ek film banaaee Salaab. tab tak Geetaji ki shaadi Guru Dutt saahab se ho chukee thi. Guru Dutt ne is film ka nirdeshan kiya aur is film mein mukhya bhoomikaayon mein the Abhi Bhattacharya aur Geeta Bali. film mein sangeet Mukul Roy ka hi tha. yeh film naheen chalee jiski wajah se Geeta Dutt ko bhaari nuksaan uThaanaa paDaa. film chaahe kaisi bhi banee ho, lekin is film ka sangeet mashahoor ho gaya.

------------ --------- --------- --------- --------
Song: hai yeh duniya kaun si (Sailaab - Hemant)
------------ --------- --------- --------- --------

Majrooh Sultanpuri ka likha Sailaab film ka yeh gaana behad maqbool huya tha un dino. Hemant Kumar ki aawaaz mein aapne yeh geet sunaa. isi geet ko Geeta Dutt ne bhi gaaya tha. leejiye Geeta-ji waalaa 'version' bhi sun leejiye.

------------ --------- --------- --------- -------
Song: hai yeh duniya kaun si (Sailaab - Geeta)
------------ --------- --------- --------- -------

film Sailaab mein Geeta Dutt ne kai ekal geet gaaye. inhi geeton ki jhalakiyaan yahaan pesh hai...

------------ --------- --------- --------- --------- -
Clip: yeh rut yeh raat jawaan (Sailaab)
Clip: tan pe rang sakhi (Sailaab)
Clip: jiyara baat naheen maane (Sailaab)
Clip: chaand ke aansoo shabnam bankar (Sailaab)
Clip: naheen deri karo mori baiyan dharo (Sailaab)
------------ --------- --------- --------- --------- --

isi film mein Mukul Roy ne Lakshmi Roy se bhi ek geet gawaayaa tha, us geet ki bhi ek chhoTi si jhalak yahaan sunte chaliye...

------------ --------- ----
Clip: baaje dil (Sailaab)
------------ --------- ----

is waqt aap ne 'tune' kiyaa hai VBLC Sangeet Ke Sitaare aur aaj ham aap ko is kaaryakram mein sunwaa rahe hain sangeetkaar Mukul Roy ke sangeet safar ki daastaan aur unke swarbaddha keeye film-e-naGhmen.

------------ --------- --------- ----
Song: shamaa ka saathi kaun (Bhed)
------------ --------- --------- ----

aur ab ham baat karenge Mukul Roy ki sabse charchit aur kaamyaab film Detective ki. jee haan, Detective bani thi san 1958 mein. nirdeshak Shakti Samanta ne tab tak Inspector, Hill Station aur Sheroo jaisi filmon ka nirdeshan kar chuke the. 1958 mein unhone Amiya Chitra ke 'banner' tale bani film Detective ka nirdeshan kiya aur isi saal unhone apne niji 'banner' Shri Shakti Films ki bhi neev rakhi. Detective mein Mukul Roy ko ek baar phir se mauka apne qismat ko aazmaane ka. aur is baar qismat ne unkaa poora poora saath diyaa. Pradeep Kumar aur Mala Sinha abhineet is film ke sabhi geet mashahoor huye. is film ka sabse mashahoor yugal geet to ham kaaryakram ke pehle geet ke roop mein hi aapko sunwaa chuke hain, leejiye isi film ka ek aur 'hit' geet suniye Geeta Dutt ki aawaaz mein. film Detective ke geeton ko likha tha Shailendra ne.

------------ --------- --------- --------- ---
Song: do chamakti aankhon mein (Detective)
------------ --------- --------- --------- ---

"do chamakti aankhon mein kal Khwaab sunehra tha jitna, ae zindagi teri raahon mein aaj andheraa hai utnaa". is get ka ek ek shabd jaise Mukul Roy ke liye hi likhi gayi ho. film Detective ke geeton ne Mukul Roy ko pal bhar ke liye mashahoor zaroor kar diya tha lekin aashcharya ki baat hai ki is film ke baad unhone kisi aur film mein sangeet naheen diyaa. Khair, aapko yeh bataa den ki Geeta Dutt ki aawaaz mein yeh jo geet abhi aap ne sunaa yeh Herry Belafonte ki "jamaican farewell" geet se prerit tha. film 'Detective' ke bahut se geeton mein Mukul Roy ne paashchaatya dhuno kaa sahaaraa liya aur kuchh mashahoor paashchaatya geeton ko bhi aadhaar banaayaa. aisa hi ek aur geet is film mein tha jiske antare aur 'interlude music' Jim Reeves ke 1950 ke mashahoor geet "Bimbo" se 'inspired' tha. Mohd Rafi ki aawaaz mein woh geet tha yeh...

------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Song: chhoDiye gussa huzoor aisi naaraazgee bhi kya (Detective)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -

isi tarah se Mohd Rafi aur Geeta Dutt ka gaaya yeh yugal geet prerit tha Spanish geet "Red Bull" se. iska Spanish maulik dhun un dino bhaarat mein bahut jaanaa pehchaanaa sa tha kyunki yahi dhun Ameen Sayani ke mashahoor 'radio programme' Geet Mala ka bhi 'signature tune' huya karta tha.

------------ --------- --------- --------- --
Song: aaja kar len muqaabalaa (Detective)
------------ --------- --------- --------- --

Detective Mukul Roy ke sangeet nirdeshan mein bani aaKhri film thi. Mukul apni baDi bahan Geeta Dutt ke bahut kareeb the. jab Geeta Dutt apne zindagi ke dukhad aur pareshaani bhare dino se guzar rahi theen, to Mukul Roy hi sadaa unhe sahaaraa dete rahe. Guru Dutt aur uske baad Geeta-ji ki mrityu ke baad Mukul Roy ne hi unke do beTon Tarun aur Arun ki dekhbhaal kee. doston, kai log yeh samajhte hain ki sangeetkar Kanu Roy aur Mukul Roy Geeta Dutt ke do bhaai hain. lekin sachchaai yeh hai ki Kanu Roy inse sambhandhit naheen hain. keval Mukul Roy hi Geeta Dutt ke bhaai hain. Kanu Roy ki kahaani bhi aage chalkar is shrinkhale mein shaamil karenge. bahar-haal suniye film detective ka ek aur geet.

------------ --------- --------- --------- --------
Song: raahi chal sambhal sambhal ke (Detective)
------------ --------- --------- --------- --------

barson baad, 1980 mein Mukul Roy ne ek film 'produce' kee, Patita. lekin sangeet ka bhaar unhone apne kandhe par naheen liyaa. yeh zimmaa unhone saunpaa Bappi Lahiri par. I V Sasi is film ke nirdeshak the aur Mithun Chakraborty aur Shoma Anand mukhya bhoomikaaon mein the. is film mein Lataji ne ek Khoobsoorat geet gaaya tha, sunte hain wohi geet.

------------ --------- --------- --------- --------- --------
Song: baiThe baiThe aaj aayi mere man mein (Patita,1980)
------------ --------- --------- --------- --------- --------

Mukul Roy aajkal Maharshtra ke Nasik shahar mein rehte hain. apni baDi bahan se unkaa pyaar itna gehraa hai ki jab lekhikaa Haimanti Banerjee Geeta Dutt par likh rahi kitaab ke liye jaankaariyaan ikaTTha karne hetu unse sampark kee to unhone na keval Khushi Khushi sahamati de dee balki Geeta Dutt par Haimanti Banerjee ki shodh mein mahatwapoorNa yogdaan diyaa. to doston, yahaan aakar Khatam hota hai aaj ke kaaryakram ka samay aur Mukul Roy ke sangeet safar ki daastaan bhi. ummeed hai aapko is kaaryakram mein prasaarit gaane pasand aaye honge. agle hafte tak ke liye ijaazat chaahoonga, namaskaar!

------------ --------- --------- --------- --------- --------
Clip: mujhko tum jo mile yeh jahaan mil gaya (Detective)
------------ --------- --------- --------- --------- --------

THE END

References:

www.geetadutt. com
www.earthmusic. net




Notice something interesting.
The main reference is our site!
Great work by all on the geeta dutt site. Even AIR recognises you!
Mahesh ji, Parag and all, Keep up the good work.
Also Haimanti ji's hard work is acknowledged so well! Well done mam. clap2.gif

And on a sombre note, Kisi ne isse record kiya kya?! We missed all those missing Geeta songs from sailaab and Bhed! angry.gif

And on a side note before Parag comes up with another entry on the fact distortion thread, yes Mukul Roy was her elder brother actually. biggrin.gif

This post has been edited by hildebrand: Apr 7 2009, 12:48 AM

Best Regards
Hildebrand


Samandar ko Baandhe Aisa Koi Ghaat Nahi, Kadmon ko thaame aisi koi baat nahin Patli si dhaara samundar mein milti hai, milkar ke kho jaati hai, ghaat ghaat hi rehte hain woh samundar ho jaati hai, karlo jo chaaho, banlo jo chaaho

“Geet boodhe nahin hote, unke chehron pe jhurriyan nahi girti
wo palte rahte hain, chalte rahte hain
sun-ne walo ki umra badal jaati hai….”

Please Visit
http://www.anmolfankaar.com: A website dedicated to Artists of the Indian Subcontinent. Now follow it on twitter too. http://twitter.com/anmolfankaar

http://www.shamshadbegum.com : A website dedicated to the Living Legend Shamshad Begum. May She Live Long.

http://www.madamnoorjehan.com : A website dedicated to Madam Noorjehan

http://www.geetadutt.com : A website dedicated to Geeta Dutt Nee Roy
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

Posts in this topic
smahesh   Mukul Roy-geetaji's Music Director Brother   Apr 1 2009, 09:45 AM
smahesh   1 1950-bhed lyricist-madhukar rajasthani, 1 ro ...   Apr 1 2009, 09:45 AM
smahesh   1 1950-bhed lyricist-madhukar rajasthani, 1 ro...   Apr 1 2009, 11:02 AM
smahesh   2 1953-do bahadur, lyricist-hunar,madhuraj,b ajme...   Apr 1 2009, 09:46 AM
smahesh   3 1954 grihprobesh [bengali], 1 barse badariya sa...   Apr 1 2009, 09:46 AM
smahesh   3 1954 grihprobesh [bengali], 1 barse badariya s...   Apr 1 2009, 11:07 AM
prakashs   here is barse badariya sawan ki[80kbps/4.45]-cou...   May 1 2009, 09:37 AM
hildebrand   here is barse badariya sawan ki[80kbps/4.45]-co...   May 2 2009, 11:29 PM
smahesh   3 1954 grihprobesh [bengali], 1 barse badariya s...   Jul 19 2009, 05:27 PM
parag_sankla   [quote name='smahesh' post='584777' date='Apr 1 2...   Nov 12 2009, 11:14 PM
smahesh   4 1956 sailaab, astt music director-kanu ghosh, ...   Apr 1 2009, 09:46 AM
smahesh   4 1956 sailaab, astt music director-kanu ghosh, ...   Apr 1 2009, 11:47 AM
Aditya Pant   i think jiyara baat nahin mane and hemant kumar v...   Apr 1 2009, 03:16 PM
smahesh   5 1956 vidhata[gujrati], lyricist-prafull desai, ...   Apr 1 2009, 09:47 AM
smahesh   5 1956 vidhata[gujrati], lyricist-prafull desai,...   Apr 1 2009, 02:32 PM
smahesh   6 1958 detective asstt-risbert, lyricist-shailen...   Apr 1 2009, 09:47 AM
smahesh   6 1958 detective asstt-risbert, lyricist-shaile...   Apr 1 2009, 09:01 PM
smahesh   [quote name='smahesh' post='584781' date='Apr 1 2...   May 8 2009, 09:52 AM
smahesh   private bengali songs   Apr 1 2009, 09:48 AM
hildebrand   Thanks mahesh ji for the two bhed songs. I second ...   Apr 1 2009, 12:26 PM
hildebrand   Thanks mahesh ji. :smile:   Apr 1 2009, 03:00 PM
smahesh   aditya, thanks for the two songs from sailaab. r...   Apr 1 2009, 08:01 PM
parag_sankla   Many thanks Mahesh for starting this thread on Muk...   Apr 1 2009, 09:59 PM
hildebrand   Many thanks Mahesh for starting this thread on Mu...   Apr 2 2009, 12:56 PM
parag_sankla   Many thanks Mahesh for starting this thread on M...   Apr 4 2009, 01:08 AM
parag_sankla   Re-uploading a pic of Mukulda with Geeta ji   Apr 1 2009, 10:02 PM
frangipani   Quiz: The famous inspiration for 'do chamakti ...   Apr 1 2009, 10:55 PM
parag_sankla   Inspired from Harry Belafonte's 'Jamaica F...   Apr 1 2009, 11:11 PM
frangipani   Absolutely! But I like the Hindi version too. ...   Apr 1 2009, 11:36 PM
parag_sankla   Absolutely! But I like the Hindi version too....   Apr 2 2009, 12:18 AM
hildebrand   Request for Geeta solo Mujhko Tum Jo Mile from Det...   Apr 2 2009, 12:53 PM
hildebrand   Maybe, luck wasn't in favour of him too (as he...   Apr 4 2009, 02:33 AM
hildebrand   Here is an excerpt I got of a recent Vividh bharti...   Apr 7 2009, 12:43 AM
parag_sankla   Wow, I think this is a very big compliment to our ...   Apr 7 2009, 02:50 AM
parag_sankla   I will call up Haimanti ji and tell her about this...   Apr 7 2009, 09:44 AM
smahesh   hb, thanks for the transcript.any idea when this p...   Apr 7 2009, 10:14 AM
parag_sankla   hb, thanks for the transcript.any idea when this ...   Apr 12 2009, 10:33 PM
hildebrand   I got details from the group. It seems its just a ...   Apr 7 2009, 05:05 PM
parag_sankla   The way the script is written, it seems like the p...   Apr 7 2009, 11:18 PM
Ittefaq   Maheshji thanks for starting this thread and for a...   Apr 24 2009, 03:10 AM
hildebrand   Thanks Ittefaq ji for the upload. :smile:   Apr 24 2009, 03:30 PM
hildebrand   Parag request you to please make the missing list ...   Apr 24 2009, 03:31 PM
parag_sankla   Parag request you to please make the missing list...   May 3 2009, 10:31 AM
smahesh   Here is the updated list of songs we are looking f...   May 8 2009, 09:48 AM
prakashs   Thank you, Hildebrand Ji. hoping to be regular her...   May 3 2009, 02:43 AM
hildebrand   Thanks Parag for making the list. The songs 1,3 an...   May 7 2009, 05:38 PM
prakashs   might have the detective songs, Hildebrand ji ... ...   May 8 2009, 02:36 AM
hildebrand   might have the detective songs, Hildebrand ji ......   May 8 2009, 08:54 AM
smahesh   might have the detective songs, Hildebrand ji .....   May 8 2009, 09:56 AM
hildebrand   [quote name='hildebrand' post='595275' date='May ...   May 8 2009, 11:50 AM
parag_sankla   Prakash ji We all have been looking for the solo ...   May 8 2009, 02:42 AM
prakashs   Prakash ji We all have been looking for the solo...   May 12 2009, 01:12 AM
parag_sankla   Prakash ji Mahesh has mentioned that HFGK (Hindi ...   May 12 2009, 01:40 AM
hildebrand   Hopefully someone having the original VHS maybe in...   May 12 2009, 02:00 AM
parag_sankla   An update on Mukulda: Mukul ji is bed ridden in h...   Jun 26 2009, 11:39 PM
smahesh   An update on Mukulda: Mukul ji is bed ridden in ...   Jul 4 2009, 08:16 PM
hildebrand   An update on Mukulda: Mukul ji is bed ridden in...   Jul 18 2009, 10:24 PM
parag_sankla   Here is the updated list of songs we are looking f...   Jul 22 2009, 04:32 AM


Reply to this topicStart new topic
2 User(s) are reading this topic (2 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 22nd July 2025 - 07:33 PM