![]() |
![]() |
smahesh |
![]()
Post
#1
|
Dedicated Member ![]() Group: Members Posts: 3354 Joined: 13-January 08 From: delhi Member No.: 36984 ![]() |
hello friends,
starting a thread for the music director duo - bipn-babul who gave music jointly as well as separately.most of the information has been borrowed from pinkyji's earlier thread and verified from hfgk. http://www.hamaraforums.com/index.php?show...mp;#entry468816 films of Bipin-Babul- 1]-195?-SALAAM E MUHOBBAT 2]-1955-SHAHI MEHMAAN 3]-1956-BADAL AUR BIJLI 4]-1956-SULTANA DAAKU 5]-1957-TAJ POSHI 6]-1958-CHANDU 7]-1958-CHAUBIS GHANTE 8]-1959-BUS CONDUCTOR 9]-1959-JUNGLE KING 10]-1959-RAAT KE RAAHI 11]-1974-DAWAT films of Bipin Dutt- 1]-1959-KYA YEH BAMBAI HAI, 2]-1960-ALAMAARA KI BETI 3]-1961-DIAMOND KING 4]-1964-BAGHI SHEHZADA films of Babul 1]-1959-CHALIS DIN, 2]-1961-RESHMI RUMAL 3]-1961-SARA JAHAN HAMARA. 4]-1962-NAQLI NAWAB, 5]-1965-MUJRIM KAUN KHOONI KAUN This post has been edited by smahesh: Dec 17 2008, 08:26 AM |
![]() ![]() |
smahesh |
![]()
Post
#2
|
Dedicated Member ![]() Group: Members Posts: 3354 Joined: 13-January 08 From: delhi Member No.: 36984 ![]() |
hello friends, here is transcript of skskm programme by ammen sayani on bipin babul[courtesy-sojoi and n ramaswamy] SANGEET KE SITAARON KI MEHFIL AMEEN SAYANI'S PROGRAMME ON BABUL (of BIPIN-BABUL duo) ------------ --------- --------- --------- --------- ------ ************ ********* ********* ********* ********* ****** BB: Babul AS: Ameen Sayani Recorded in 1973 ------------ ---- aur baheno aur bhaaiyon, Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein tayyaar ho jaaiye us baDe guNee 'music director' se milne ke liye, jinki 'personality' bhi baDi mazedaar thi saahab! raubdaar, milansaar, hansmukh, oonchaa kad magar kisi khilaaDi ki tarah 'slim' aur 'smart', aur saath hi saath thoDe se sankee aur swabhaav mein thoDe se jhagDaalu, jaise achchhe kalaakaar kabhi kabhi ho jaaya karte hain! naam hai unka Babul. ------------ --------- --------- --------- --------- --------- - Song: hamein haal-e-dil tumse kehna hai kahiye (24 Ghante) ------------ --------- --------- --------- --------- --------- - yeh gaana tha film 24 Ghante ka, lekin ismein Babul akele 'music director' naheen the, unke saath unke baDe sureele 'partner' bhi huya karte the, Bipin. Bipin-Babul ki joDee ek saath kai filmon mein aayi aur phir na jaane kyun yeh dono alag ho gaye. hamaare 'programme' ki 'interview' ke liye bhi Babul akele hi aaye the san 1973 ke aaspaas. ek aise kaaryakram ke liye aaye the jismein filmi sitaare aur alag alag tarah ke kalaakaar aakar apne saathiyon ka haal bataate the. us waqt meri aawaaz kuchh waisi thi bahenon aur bhaaiyon jiski nakal aaj bhi kai 'radio announcers' kiya karte hain, lekin aaj main us 'style' mein naheen bolta kyunki ab mujhe woh 'style' apna bilkul hi achchha naheen lagta hai, baDaa ajeb sa lagta hai. baherhaal 1973 mein 'record' keeye huye Babul ke saathiyon waali 'programme' mein meri wohi aawaaz thi, isliye mujhe woh sunaani hi paD rahi hai aapko, to suniye: ************ ******** AS: aaiye aaiye Babul saahab, lekin aap to akele hi aaye hain, Bipin saahab kahaan reh gaye? BB: Ameen saahab, Bipin saahab ne aane se saaf inkaar kar diya. AS: o ho, woh kyun? BB: kehne lage, ham teeno ko baaten karne ka is qadar shauk hai ke... AS: yeh "ham teeno ko" se kya matlab hai aapka? BB: teeno se muraad hai, ek main, ek Bipin saahab, aur teesre, maaf keejiye, kuchh aapki, samajh to rahe honge aap (laughs) AS: baat to sach hai Babul saahab, achchhe achchhe kalaakaar saamne hon to man karta hai ki achchhe achchhe sawaal unse poochhoon aur baaten is tarah se zaroorat se zyaada hi kar leta hoon (laughs). lekin Khair, isse pehle ki main aapke teen saathiyon ke baare mein kuchh kehne ke liye kahoon, Babul saahab, ek baat main zaroor kahoonga, aur woh yeh ki pichhle kai barson se ham kai tarzen sunte aaye hain aapki aur Bipin saahab ki banaaee huyi, jo aapne saath saath banaaee thi, woh bhi jo aapne alag banaaee, in sab tarzon ke liye main sunnewaalon ki or se aapka shukriya adaa karna chaahta hoon, baDi pyaari, baDi Khoobsoorat, baDi achchhi tarah se. ------------ --------- --------- --------- ------ Song: duniya mujhko paagal samjhe (24 Ghante) ------------ --------- --------- --------- ------ AS: achchha Babul saahab, ab mera Khayaal hai aapke teen saathiyon ka silsilaa jo hai woh shuru kiya jaaye, bataaiye ki teen saathi jo aapne chune hain woh kaun se hain? BB: teen hi saathi kyun Ameen saahab? zindagi mein mere bahut se saathi hain aur main bolta chalaa jaayunga aur saathiyon ka zikr aata chalaa jayegaa. AS: chaliye yahi sahi Babul saahab. BB: to Ameen saahab, yeh un dino ki baat hai jab main Morris Music College mein tha AS: yaani Lucknow mein? BB: jee haa, aur Lucknow 'radio station' se gaata tha. aur Madan-ji wahaan ke 'programme assistant' the AS: Madan-ji yaani Madan Mohan? BB: jee haan AS: achchha achchha BB: yakaayak unhone Bambai aane ka 'programme' banaaya aur ham bhi is Khayaal se Bambai ki taraf chal paDe ki chalo 'playback singer' banenge. 'singer' to saahab ban na sake, lekin Madan saahab ke 'assistant' zaroor ban gaye. aur waheen par Bipin-ji se mulaaqaat huyi AS: to woh bhi Madan-ji ke saath the? BB: jee haan! woh chupke chupke dhune banaate the aur main unhe gaa gaakar tarzen diya karta tha. aur aahista aahista phir dono ne yeh sochaa ki ham bhi kyun na 'music director' ban jaayen! AS: achchha achchha BB: bas, Madan-ji se aashirvaad liya aur Naaz Films ki pehli film mein hamein mili 'chance' AS: woh pehli film kaun si thi Babul saahab? BB: film Shahi Mehman. film Khaasi rahi aur ham kaamyaab ho gaye. iske baad Zaar saahab ke hi Taj Poshi, 24 Ghante, Sultana Daku, Raat Ki Rani, vagerah vagerah bahut si filmon mein 'music' diya. AS: lekin ek baat bataaiye Babul saahab, jab Bipin saahab se itna gehra saath tha to phir aap dono judaa kyun huye? BB: Ameen saahab, aadmi ko haal mein hi Khush rehna chaahiye, judaai ki baat bhool jaaiye, aur is baat ko yaad rakhiye ki ham dono phir ab saath saath hain. ************ ********* **** achchha doston, yeh baat Babul ne kahee thi 1973 mein, aur uske agle saal 'release' huyi 'producer' Bipin aur Babul ki, yaani dono ki ek saath ki film Dawat. yaani ki Bipin se kareeb 10 saal alag rehne ke baad dono daawat mein phir mile, magar bahenon aur bhaaiyon, mujhe yahaan par bajaane ke liye film Dawat ka koi geet to naheen milaa, to leejiye aapko akele Babul ke sangeet nirdeshan ka ek geet yahaan par sunwaata hoon, phir lauT aayenge Dawat par. yeh gaana hai Babul ki film 40 Din ka. ------------ --------- --------- --------- Song: baiThe hain rehguzar par (40 Din) ------------ --------- --------- --------- aaiye ab lauT-te hain 1973 mein jab sangeetkaar Bipin aur Babul phir mile the film Dawat mein, lekin 1973 ke us 'interview' mein Babul ne Bipin ke baare mein kuchh naheen kahaa tha, balki Dawat ki 'producer' Dilip Dutt ki baat chheDee, Dilip Dutt, jo ki bahut mashoor 'comedian' aur 'mimicry artiste' huya karte the. ************ ********* **** BB: ek baat main kehna chaahta hoon, yeh jo 'producer' hain na hamaare Dilip Dutt saahab, unke baare mein main kuchh zaroor kehna chaahta hoon. AS: zaroor BB: to yun kahoonga Ameen saahab, baat ke baDe dhanee aur vaade ke baDe pakke. 5 saal puraana vaadaa unhone Dawat mein 'music' dene ka daawat dekar poora kar diya tha. AS: achchh achchha, bahut Khoob bahut Khoob! BB: aur waise to aap jaante hain ki woh 'stage' par 'comedy' vagerah karte rehte hain AS: jee haa jee haan, bahut achchhi 'comedy' kar lete hain, Gazab ke 'artiste' hain, ek aadh namoona sunnewaalon ko bhi sunaaiye Babul saahab. BB: jaise ki, misal ke taur par, kisi ne poochha tha ki 'Dilip Kumar aur Dilip Dutt mein kya farq hai?' AS: achchha achchha BB: kehne lage 'Dilip Kumar 'syllable' hain aur Dilip Dutt 'avalable' hai' AS: 'syllable' aur 'available', bahut achchhe BB: ek saahab ne poochha 'Dilip saahab, aap kya kalaakaar hain?' to fauran kehne lage 'main to kalaa hi kalaa hai, 'kaar' to...' (laughs), aise chuTkule aksar karte rehte the. AS: achchha Babul saahab, ab tak aapke saathiyon mein 'music directors' aur 'producers' ka hi zikr huya hai. kya kuchh 'heroes' aur 'heroines' bhi hain jinhe aap apna saathi maante hain? BB: jee haan Ameen saahab, yeh apna Manoj Kumar. AS: achchha. to Babul saahab, aapne sabse numaayaa baat kya dekhee Manoj Kumar mein? BB: sabse numaaya baat yeh hai ki bahut kam bolte hain aur bahut zyaada sunte hain. Zaar saahab ki film Reshmi Rumaal se lekar unki apni film Shor tak unka ek yahi andaaz raha hai. ************ ********* *** aa haa haa, yeh naam jo aa gaya Reshmi Rumaal ka, to uske 'hit' geeton ki kataar saj gayi hai meri yaadon mein bahenon aur bhaaiyon. to aaiye lage haathon woh bhi yahaan sunte chalen, hun, to silsilaa main shuru karta hoon us geet se jo sabse zyaada mujhe pasand hai. ------------ --------- --------- --------- ----- Song: zulfon ki ghaTaa lekar (Reshmi Rumaal) ------------ --------- --------- --------- ----- Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein abhi abhi jo zulfon ki ghaTaa bikhree usey sangeetkaar Babul ne akele hi sanvaara tha, yaani ki apne 'partner' Bipin ke baGair. 40 Din, Naqli Nawaab aur Reshmi Rumaal jaisi filmon mein Babul ne akele hi sangeet diya. Reshmi Rumaal ke baare mein kehte huye Babul ne mujhe Manoj Kumar ke baare mein kuchh aur bhi baaten bataaee. ************ ********* BB: main samajhta hoon Ameen saahab, unki kaamyaabi ka sabse baDaa raaz yeh hai ki chhoTe baDe ka lihaaz unke zindagi ka Khaas pehlu hai. aur woh hamesha apne aap ko 'student' samajhte hain. AS: achchhe kalaakaar ki yahi to pehchaan hai Babul saahab? ab yeh bataaiye ki kya sangeet se bhi lagaav hai Manoj Kumar ko? BB: bahut zyaada Ameen saahab, bahut puraane gaane, dhun aur bolon ke saath aise yaad hai unhe jaise kal hi sune ho AS: waise bhi Bipin aur Babul ki tarzen bhi to aisi hain ki barson yaad rahe Babul saahab? dekhiye abhi jo geet mujhe yaad aarahi hai usey Manoj hi ne 'screen' par adaa kee thi film Naqli Nawaab mein, kahiye to chheD den woh geet! BB: zaroor ------------ --------- --------- --------- ------ Song: cheDaa jo dil ka fasaana (Naqli Nawaab) ------------ --------- --------- --------- ------ achchha bahenon aur bhaaiyon, aapko yaad hogaa Babul ke is 'interview' ke shuru mein unhone kahaa tha ki 'singer' banne ke liye, jee haan, gaayak banne ke liye woh Bambai aaye the aur filmi duniya se juD gaye. to us 'interview' mein maine Babul saahab se poochha tha: ************ ********* ** AS: maine sunaa hai ki aap gaa bhi bahut achchha lete hain, balki do teen gaane to aap ne 'record' bhi keeye hain, phir aap ne gaana kyun chhoD diya. BB: achchha gaana gaana aur 'playback' denaa, dono alag alag cheezen hain Ameen saahab! aap ne aksar suna hoga ki baDe achchhe achchhe kalaakaar 'stage' par aur mehfilon mein is qadar aur itna umdaa gaate hain, lekin jan hamaari filmon mein gaate hain to poori tarah se kaamyaabi naheen milti. AS: hummm, yeh baat to sahee hai BB: lekin iska matlab yeh naheen hai ki main gaana bajaana bhool gaya hoon Ameen saahab! AS: agar aisi baat hai Babul saahab to hamaare sunnewaale zaroor chaahenge ki aap gaakar apne kuchh geeton ke mukhDe unhe sunaa den. BB: jee haan, dekhiye main koshish karta hoon, (sings) "gardish mein ho taare na ghabraana pyaare, gar tu himmat na haare to honge vaare nyaare...." ************ ********* ******* aur yahi geet film Reshmi Rumaal mein Mukesh ne kaise gaaya tha yaad hai aapko? ------------ --------- --------- --------- ---- Song: gardish mein ho taare (Reshmi Rumaal) ------------ --------- --------- --------- ---- BB: main ek aur sunaayun aapko? AS: zaroor, zaroor sunaaiye BB: (sings) "naseeb hogaa mera meherbaan kabhi na kabhi..." AS: Babul saahab, mera Khayaal hai aapke 'hit' geeton ke mukhDe hain na woh aap hi ki zindagi ki kahaani kehte hain. BB: jee haan Ameen saahab, na main gardish se ghabraata hoon aur main naseeb ka khwaahishmand rehta hoon. ------------ --------- --------- --------- --------- --------- Song: naseeb hogaa mera meherbaan kabhi na kabhi (40 Din) ------------ --------- --------- --------- --------- --------- BB: ek aur sunaayun, 'bore' to naheen ho rahe? AS: naheen naheen, bilkul naheen BB: (sings) "jab chhaaye kabhi saawan ki ghaTaa, ro ro ke na karna yaad mujhe...." ************ ********* *** "jab chhaaye kabhi saawan ki ghaTaa", bahenon aur bhaaiyon, yeh geet bhi 1961 ki film Reshmi Rumaal ka tha. waise Bahul saahab ne bhi kaafi sur mein isey gaaya magar film mein gaaya tha Talat Mahmood ne, to aaiye unki aawaaz mein suniye. ------------ --------- --------- --------- --------- -------- Song: jab chhaaye kabhi saawan ki ghaTaa (Reshmi Rumaal) ------------ --------- --------- --------- --------- -------- bahenon aur bhaaiyon, sureele sangeetkaar Babul ke us 'interview' ko dekhiye kitne baras ho gaye, 1973 mein aaye the woh mere 'studio' mein 'programme record' karne ke liye aur uske baad Babul se meri mulaaqaaten kam kam hone lagi. kabhi sunaa ki woh Bambai chhoD gaye hain aur kabhi pataa chalaa ki woh Hindustaan hi chhoD gaye hain. aur abhi abhi jab maine Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ke liye unka yeh 'interview' dubaara 'edit' kiya, tab jaake pataa chalaa ki Babul kai saal pehle Pakistan chale gaye the, aur waheen kaafi arsaa pehle unka inteqaal bhi ho gaya. to bahenon aur bhaaiyon, is 'programme' ko Babul ki yaadon ko salaami samajhiye aur mujhe zaroor e-mail se bataaiye ki aapko yeh 'programme' kaisa lagaa aur mujhe bataaiye ki aap Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein aur kin kin sureele hastiyon ke 'interviews' sunna chaahte hain. mera e'e-mail address' to aapko pataa hi hai na, naheen hai to likh leejiye, sayani@vsnl. com. achchha to main ab phir juT jaata hoon aap ke liye Sangeet Ke Sitaaron Ke Khazaane khojne mein aur aap tayyaar rahiye Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ke agle 'programme' ko sunne ke liye, namaste, aadaab! THE END |
![]() ![]() |
![]() |
Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | ![]() |
Time is now: 21st July 2025 - 10:49 PM |