![]() |
![]() |
Anupama |
![]()
Post
#1
|
Dedicated Member ![]() Group: Members Posts: 3693 Joined: 24-October 05 Member No.: 3042 ![]() |
Today is Sahir Ludhianvi's 28th death anniversary. Sahir once said, "Kal Aur Aayenge Naghmon Ki Khilti Kaliyaan Chun-ne Waale, Mujhse Behtar Kehne Waale, Tumse Behtar Sun-ne Waale", but how do we tell Sahir sahab that there hasn't been anyone who has proved to be a better poet than him. Talk about better, there isn't even anyone who has come close to Sahir Ludhianvi after him!
I wish he hadn't left us all so early. His presence and his thoughts would have made the Hindi Music World a better one. I pay tribute to this great poet! ![]() ![]() Itni Jaldi Bhi Kya Thi Sahir Tum Ko Jaane Ki Kuchh Aur Talkhiyaan Dekh Lete Zamaane Ki______Anupama I'm posting, along with his pictures, some Nazmz that Sahir Ludhianvi's friends wrote after his demise. This post has been edited by Anupama: Oct 26 2008, 01:00 AM |
![]() ![]() |
Anupama |
![]()
Post
#2
|
Dedicated Member ![]() Group: Members Posts: 3693 Joined: 24-October 05 Member No.: 3042 ![]() |
Woh Ek Beemar-e-Gham Jo Zindagi Bhar Kam Se Kam Soya
Na Woh Jee Bhar Ke Khud Soya, Na Koi Uska Gham Soya Jo Soya Bhi Toh Goya Do Ghadi Lene Ko Dum Soya Magar Ab Ke Woh Soya Apne Dard Ki Kha Kar Kasam Soya Kabhi Pehle Nahin Thi Beqaraari Jo Usse Ab Thi Yeh Uss Beemar-e-Gham Ke Jaagne Ki Aakhiri Shab Thi! Usse Maloom Tha, Uska Lahu Hai Sard Hone Ko Khila Tha Uska Chehra Aaj Ki Shab Zard Hone Ko Dawa Thi Muntazir Uski, Sarapa Dard Hone Ko Na Woh Khatir Mein Laaya Hasraton Ke Gard Hone Ko Bhala Hasrat Koi Uss Naatwan Par Meharbaan Kab Thi Yeh Uss Beemar-e-Gham Ke Jaagne Ki Aakhiri Shab Thi! Jo Baaki Mai Thi Uski Zindagi Ke Aabgeene Mein Woh Mai Usne Mila Di Maut Ke Thande Paseene Mein Phir Uske Baad Ja Baitha Woh Ek Toote Safeene Mein Utrana Tha Usse Dariya Ke Na-Humvaar Seene Mein Woh Dariya Chand Barson Se Ravani Jiski Bedhab Thi Yeh Uss Beemar-e-Gham Ke Jaagne Ki Aakhiri Shab Thi! Ghazala Khoob Waaqif Hain Ke Maatam Ho Raha Hoga Deewana Marr Gaya, Veeraana Usko Ro Raha Hoga Woh Khud Hi Jaanta Tha Jo Bhi Gham Usko Raha Hoga Magar Ab Chain Se Apni Lehd Mein So Raha Hoga Suna Hai Jab Woh Soya, Muskurahat Zeenat-e-Lab Thi Yeh Uss Beemar-e-Gham Ke Jaagne Ki Aakhiri Shab Thi!___________Qateel Shifai ![]() |
![]() ![]() |
![]() |
Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | ![]() |
Time is now: 3rd July 2025 - 06:17 PM |