![]() |
![]() |
Amod |
![]()
Post
#1
|
Member ![]() Group: Members Posts: 296 Joined: 9-December 06 From: India Member No.: 8112 ![]() |
Hi All,
Some thing different now: The Salilda composition from the film 'Eik Gao Ki Kahaani', sung by Talat Saheb, is one of my all time favorites: Raat nay kyaa kyaa khwaab dikhaaye Rang bharay sou jaal bichhaaye AnkheN khulee to, sapnay Tu_Tay Reh gaye gham kay kaaley saaye Raat nay kyaa kyaa khwaab dikhaaye ... I dreamt of completely new words, sung by Talat saheb, on the same tune. Any of the HM members, who can sing, may try singing these words in the same tune, and if possible upload their recorded song here. Here are the words: Humnay bhi afsaanay su_naaye Kuch logoN_kay naam jo aaye Labz ye kaapeN, hoNTh silay thay Khulay jo saamnay jaam ye aaye Humnay bhi afsaanay su_naaye ... Kaun iss dilko phir behelaataa? Bhujhay diye ko phirsay jalaataa? (2) Shee_shay say Tu_Tay, phirbhi khelay Raakh say koi dil kyuN lagaaye? Humnay bhi afsaanay su_naaye ... (Yeh agli lines MAI (jaam) say kahi jaa rahi hai) Tum kyuN meray yaar banay ho? Shaam kaa kyuN deedaar baney ho? (2) Mujhpay sitam tum naa karnaa kam Gham ki aadat Yu_hee na jaaye Humnay bhi afsaanay su_naaye ... Ab kyuN unkaa zikr KareiN Hum? Kyaa baaki jo unse kaheiN hum? Dil ki yeH baateiN, dil na suney to ..? Hum hi paagal kyuN kehelaayeiN? Hum ne bhi afsaaney sunaayeiN! As usual your comments are most welcome. Amod Log, ek taraf, maY ko sharaab kehtey hai Uss chasm-e-saaQee shaY ko janaab kehtey hai / |
![]() ![]() |
Amod |
![]()
Post
#2
|
Member ![]() Group: Members Posts: 296 Joined: 9-December 06 From: India Member No.: 8112 ![]() |
Hi all,
i simply adore the all time great KK song .. 'Pyaar diwaanaa hotaa hai' Today i attempted to write some new words for this song .. i welcome all interested HF members to record these words in the same tune and upload their song. Please make use of the Karaoke track, if possible. If any one does have a KARAOKE track please upload it here, so that others can use it. COME ON ALL KK FANS ! ------------------------------------------------------------------------- Aaj bhi unke, aashiq hai [pyaar diwaanaa hotaaa hai] Batalaanaa to hogaa ... [mastaanaa hotaa hai] Haal-e-dil, kabhi na kabhi [har KHUSHI se har ghamse] (oops i had typed 'Ghadi' instead of 'Khushi') Dohoraanaa to hogaa (2) [begaanaa hotaa hai] Kabhi kahi paayal chchanki [Shamma kaheiN parwaaneiN se] Teri yaad ko ... [Arrey chalaa jaa] Bhulaa ke raKeeb aayeiN [Merii tarraH jal jaayeiN gaa] YaheeiN jashn ko (2) [Yahaa nahi aa] Woh nahi hoNgey to yeh [Woh nahi suntaa usko] Maikhaanaa to hogaa .... [Jal jaanaa Hotaa hai] Haal-e-dil, kabhi na kabhi [Har ghadi se har ghamse] Dohoraanaa to hogaa [begaanaa hotaa hai] --------------------------------- Aaisi chup lagaa rakhkhee hai HumneiN zubaaN pe Unkaa zikr aayeiN kahaaN se Apni zubaaN pe (2) Dil magar majboor hai Batlaanaa to hogaa .... Haal-e-dil, kabhi na kabhi Dohoraanaa to hogaa ... --------------------------------- Koyi humeiN laakh dikhaayeiN HaNsee woH jalweiN .... Bas raheiN niGhaH par chaayeiN Tere Hi jalweiN (2) Ek-baar teraa ho jaayeiN woH Teraa hi to hogaa Haal-e-dil, kabhi na kabhi Dohoraanaa to hogaa. ------------------------------------------------------------------------- Amod Log, ek taraf, maY ko sharaab kehtey hai Uss chasm-e-saaQee shaY ko janaab kehtey hai / |
![]() ![]() |
![]() |
Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | ![]() |
Time is now: 7th July 2025 - 06:44 AM |