Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Shamshad Begum- Radio Program

, Audio Upload

 
> Shamshad Begum- Radio Program, Audio Upload
sbfan
post Oct 7 2005, 10:04 PM
Post #1


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1091
Joined: 4-January 05
Member No.: 1475



Dear friends

here I present the Jaymala gold by Shamshad ji aired on Vivdh Bharti

The quality is compromising.


Warm regards

Ashish


Desh ke rakhwaalon, aap sab ko meri duyaayen. Mere liye gaana to
aasaan hai, par bolna bahut mushkil. Samajh mein naheen aa raha hai
ki kahaan se shuru karoon.Aap mere gaane apne bachpan se hi sunte
chale aa rahe honge, par aaj pehli baar aapse baaten kar rahi hoon.
Aap beeti shuru karne se pehle yeh naghma suniye.

Song: Na bol pee pee more angna o panchhi jaa re jaa

Daastaan yun hai ki mera janm Lahore mein 1919 mein huya, us samay
ladkiyon ko jo zaroori taalim dee jaati thee, mujhe bhi dee gayi.
Gaane ka shauk ghar mein kisi ka bhi naheen tha mere alaawa. Mere
walid ghazlon ke shaukin the aur we mushayre mein jaaya karte the.
kabhi kabhi we mujhse ghazlen gaane ko bhi kehte the. Master Ghulam
Haider mere walid ke achchhe dost the. Ek baar unhone meri awaaz suni
aur unko meri awaaz pasand aa gayi. Masterji ne ek recording company
ke zariye mera pehla record nikalwa diya. 14 saal ki umra mein mera
pehla gaana record huya jo tha "Haath joda lai pakhiyanda oye kasam
khuda di chanda"

Us record company ne phir mere 100 records nikaale. 1937 mein main
All India Radio Delhi ki artiste ban gayi jahaan maine Pashto,
Persian, Hindi, Urdu aur Punjabi mein programmes pesh kiye. Par maine
kabhi sangeet ki koi taalim naheen lee. 1939 mein main Lahore aur
Peshwar mein radio programmes karne lagi.

Pancholiji ne pehli baar mujhe playback ka mauka diya film Yamla Jat
mein, jismein mera geet "Aa sajna" kaafi hit huya tha. Meri pehli
Hindi film thee Mehboob sahab ki Taqdeer jo Nargis ki bhi pehli film
thee.

Phir uske baad Pune ki ek film company ne Panna ke geet gawaaye. Is
tarah se ek ke baad ek offer aate gaye aur main Bambai mein bas gayi.

Mere pasand ke fankaar hain Barkat Ali Khan, Begum Akhtar, Juthika
Roy aur K L Saigal, jo mere inspirations the.

Ab main aapko Begum Akhtar ki gaayi ek thumri sunwaati hoon.

Song: Akhiyaan neend na aaye (Thumri by Begum Akhtar)

Ek baar Mehoob sahab ki studios mein main chali gayi jahaan par film
Humayun ki shooting chal rahi thee. Set par sipahi chamakdaar libaas
pahenkar khade the. Jaise hi Mehboob sahab ne "Start...Action" kahaa,
to ek saath 500 chamakti talwaaren takraane lagi. Main bhool gayi ki
shooting chal rahi hai, main cheekh padi. Fauji bhaiyon, aap meri
buzdili par hans rahe honge. Kitchen mein chaaku chalaanewali ke munh
se cheekh naheen to kya lalkaar niklegi?

Song: Bhool gaye kyun deke sahara (Anokhi Ada)

Mumbai mein Master Ghulam Haider sahab aa gaye aur ek baar phir main
unke saath kaam karne ka mauka mila. Hulchul, Phool, Shama, Humayun,
Chal Chal Re Naujawaan, wahrah mein maine gaaye jo aaj ke zamaane
mein nayaab ho gaye hain, par ek geet Humayun ka main gaakar sunaati
hoon.

Song: Naina bhar aaye neer (Humayun)

Sangeetkaar Naushad sahab ke saath maine kuch 16/17 filmon mein gaaye
hain jaise Shajehan, Dard, Dulari, Mother India, Mughal-e-azam,
Deedar, Anmol Ghadi, Aan, Baiju Bawra, Uran Khatola wagerah. Mere paas unke
khoobsurat geeton ka khazana hai. Log aaj bhi unke music ke deewane
hain. Mere stage shows mein log zyadatar unke geeton ki hi farmaish
karte hain.

Song: Pee ke ghar aaj pyari dulhaniya chali

Master Ghulam Haider kaha karte the ki kisi bhi playback artiste mein
paani ki misaal honi chahiye ki jis bartan mein daalen, usi mein
samaa jaaye. Main apni taarif to nahen karti, par masterji ki isi
baat ko dhyaan mein rakhkar main alag alag sangeetkaaron ke saath
kaam kiya. Ghulam Haider, Naushad se lekar C Ramchandra, O P Nayyar,
Ghulam Mohammad, S D Burman aur Nashad tak.

Maine Hindi ke alawa regional languages mein bhi gaane gaaye hai.
Film Aan ki Tamil version mein 4 gaane gaaye hain. bangla aur Marathi
mein to pehle se hi gaa rahi thee. Film Shabnam ke ek geet mein maine
5 zabaanon mein gaaya.

Ab main aapko film Naya Andaz ka ek geet sunwati hoon jo maine
Kishore Kumar ke saath milkar gaaya tha O P Nayyar ke liye.

Song: Meri neendon mein tum (Naya Andaz)

Raj Kapoor apni pehli film aag bana rahe the. We mere paas aaye aur
kaha ki main Prithviraj Kapoor ka beta hoon. Maine kaha - bahut
khushi ki baat hai. Phir unhone kaha - aapko meri film mein gaana
padega. Maine kaha - gaa doongi. Is film ke saare gaane bahut hi
maqbool huye, sangeetkaar the Ram Ganguly. Is film ka ek geet suniye.

Song: Kaahe koyal shor machaye re (Aag)

Meri nazar mein Shyam Sundar ke liye bhi khaas jagah hai. Woh bahut
hi achchhe sangeetkaar aur violin vaadak the. Aaj in 30 minton mein
kai chehre saamne aaye aur chale gaye. Ab main ek aise shakhs ka zikr
karta hoon jo mere taarif ke mohtaaj naheen hain, jo insaan ke roop
mein farishta the, jo kuch dinon ke liye is sansaar mein aaye aur
chale gaye, jo tha pehla mardaana awaaz jise logon ne baar baar sunna
chaha - K L Saigal.

Song: Har ek pal

Jis Shamshad Begum ke gaane aap bachpan se sun rahe hain, jis
Shamshad Begum ki Jaimala aap aaj sun rahe hain, us Shamshad Begum,
yani ki maine kabhi sangeet ki koi taalim naheen lee. Jo kuch bhi
maine seekha hai woh Master Ghulam Haider sahab ki den hai, aur mere
dil mein unke liye bahut izzat hai. Har aadmi ko apne guru ki izzat
karni hi chahiye.

Fauji bhaiyon, mere dil mein aap ke liye bhi utni hi izzat hai, aur
yahi wajah hai ki maine apni beti ki shaadi ek fauji officer ke saath
karwaaee. Khair, yeh to dil ki baat thee jo zubaan par aa gayi. Ab
aap mujhe ijazat deejiye, Jai Hind.

THE END

MERI NEENDON MEIN TUM
MERE KHWABON MEIN TUM

LONG LIVE SHAMSHAD BEGUM
IPB Image
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
 
Reply to this topicStart new topic
Replies
sbfan
post Oct 7 2005, 10:59 PM
Post #2


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1091
Joined: 4-January 05
Member No.: 1475



The last one
I have one query regarding the excerpt of naushad ji she mentions the films in which she sung for him.She mentions Uran Khatola too.But it has only Lata numbers none else can anybody confirm from film track

warm regards

Ashish

MERI NEENDON MEIN TUM
MERE KHWABON MEIN TUM

LONG LIVE SHAMSHAD BEGUM
IPB Image
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anilkumar
post Oct 18 2005, 09:25 AM
Post #3


Regular Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 365
Joined: 8-May 04
From: Mumbai
Member No.: 465




Well there is only one song -
-----------------------------------------
Mera salam le ja dil ka payam le ja
by Shamshad, Lata
in Udan Khatoula (1955)
Naushad, Shakeel
-------------------------------------------

-A


QUOTE(ashish2345 @ Oct 7 2005, 10:59 PM) *

..........she mentions the films in which she sung for him.She mentions Uran Khatola too.But it has only Lata numbers -Ashish
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

Posts in this topic
ashish2345   Shamshad Begum- Radio Program   Oct 7 2005, 10:04 PM
ashish2345   The next 2 parts   Oct 7 2005, 10:21 PM
ashish2345   next 2 parts   Oct 7 2005, 10:46 PM
ashish2345   The last one I have one query regarding the excerp...   Oct 7 2005, 10:59 PM
anilkumar   Well there is only one song - [b]----------------...   Oct 18 2005, 09:25 AM
mohd2004   [size=3][color=#009900] Well there is only one so...   Oct 18 2005, 01:49 PM
kistin   Hi Ashish, Here is the cleaned version of #2 as p...   Oct 8 2005, 08:31 PM
ashish2345   Hi Ashish, Here is the cleaned version of #2 as ...   Oct 8 2005, 09:02 PM
urzung khan   Dear friends here I present the Jaymala gold by ...   Oct 31 2005, 03:40 AM
ashish2345   Ashish sahib, Thanks for posting the Shamshad ...   Oct 31 2005, 10:06 AM
urzung khan   Ashish sahib, Thanks for posting the Shamshad...   Nov 1 2005, 07:10 AM
ashish2345   Ashish sahib, I have the ravi song but I am ...   Feb 9 2006, 08:52 PM
urzung khan   [quote name='urzung khan' post='18083...   Feb 20 2006, 03:53 PM
urzung khan   Ashish sahib, Thanks for posting the Shamshad...   Nov 1 2005, 07:13 AM
maheshks   There was only one movie named 'Panna' a...   Oct 31 2005, 12:10 PM
ashish2345   HELLO URZUNGJI please upload the clip again it is...   Nov 1 2005, 07:22 AM
jaykoshal   HELLO URZUNGJI please upload the clip again it i...   Nov 1 2005, 07:32 AM
ashish2345   Hello Jay I think u r referring to Mukeshji's...   Nov 1 2005, 07:37 AM
Inaam_Nadeem   Urzung Sahaab! I am also waiting for the songs...   Feb 20 2006, 03:02 PM
urzung khan   Munawwar Sultana sooye ve cheere vaalyaa Non Film ...   Feb 20 2006, 09:35 PM
ashish2345   Respected Urzung ji Thanks a lot for the upload ...   Feb 24 2006, 10:59 AM


Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 30th July 2025 - 01:04 AM