![]() |
![]() |
sbfan |
![]()
Post
#1
|
Dedicated Member ![]() Group: Members Posts: 1091 Joined: 4-January 05 Member No.: 1475 ![]() |
Dear friends
here I present the Jaymala gold by Shamshad ji aired on Vivdh Bharti The quality is compromising. Warm regards Ashish Desh ke rakhwaalon, aap sab ko meri duyaayen. Mere liye gaana to aasaan hai, par bolna bahut mushkil. Samajh mein naheen aa raha hai ki kahaan se shuru karoon.Aap mere gaane apne bachpan se hi sunte chale aa rahe honge, par aaj pehli baar aapse baaten kar rahi hoon. Aap beeti shuru karne se pehle yeh naghma suniye. Song: Na bol pee pee more angna o panchhi jaa re jaa Daastaan yun hai ki mera janm Lahore mein 1919 mein huya, us samay ladkiyon ko jo zaroori taalim dee jaati thee, mujhe bhi dee gayi. Gaane ka shauk ghar mein kisi ka bhi naheen tha mere alaawa. Mere walid ghazlon ke shaukin the aur we mushayre mein jaaya karte the. kabhi kabhi we mujhse ghazlen gaane ko bhi kehte the. Master Ghulam Haider mere walid ke achchhe dost the. Ek baar unhone meri awaaz suni aur unko meri awaaz pasand aa gayi. Masterji ne ek recording company ke zariye mera pehla record nikalwa diya. 14 saal ki umra mein mera pehla gaana record huya jo tha "Haath joda lai pakhiyanda oye kasam khuda di chanda" Us record company ne phir mere 100 records nikaale. 1937 mein main All India Radio Delhi ki artiste ban gayi jahaan maine Pashto, Persian, Hindi, Urdu aur Punjabi mein programmes pesh kiye. Par maine kabhi sangeet ki koi taalim naheen lee. 1939 mein main Lahore aur Peshwar mein radio programmes karne lagi. Pancholiji ne pehli baar mujhe playback ka mauka diya film Yamla Jat mein, jismein mera geet "Aa sajna" kaafi hit huya tha. Meri pehli Hindi film thee Mehboob sahab ki Taqdeer jo Nargis ki bhi pehli film thee. Phir uske baad Pune ki ek film company ne Panna ke geet gawaaye. Is tarah se ek ke baad ek offer aate gaye aur main Bambai mein bas gayi. Mere pasand ke fankaar hain Barkat Ali Khan, Begum Akhtar, Juthika Roy aur K L Saigal, jo mere inspirations the. Ab main aapko Begum Akhtar ki gaayi ek thumri sunwaati hoon. Song: Akhiyaan neend na aaye (Thumri by Begum Akhtar) Ek baar Mehoob sahab ki studios mein main chali gayi jahaan par film Humayun ki shooting chal rahi thee. Set par sipahi chamakdaar libaas pahenkar khade the. Jaise hi Mehboob sahab ne "Start...Action" kahaa, to ek saath 500 chamakti talwaaren takraane lagi. Main bhool gayi ki shooting chal rahi hai, main cheekh padi. Fauji bhaiyon, aap meri buzdili par hans rahe honge. Kitchen mein chaaku chalaanewali ke munh se cheekh naheen to kya lalkaar niklegi? Song: Bhool gaye kyun deke sahara (Anokhi Ada) Mumbai mein Master Ghulam Haider sahab aa gaye aur ek baar phir main unke saath kaam karne ka mauka mila. Hulchul, Phool, Shama, Humayun, Chal Chal Re Naujawaan, wahrah mein maine gaaye jo aaj ke zamaane mein nayaab ho gaye hain, par ek geet Humayun ka main gaakar sunaati hoon. Song: Naina bhar aaye neer (Humayun) Sangeetkaar Naushad sahab ke saath maine kuch 16/17 filmon mein gaaye hain jaise Shajehan, Dard, Dulari, Mother India, Mughal-e-azam, Deedar, Anmol Ghadi, Aan, Baiju Bawra, Uran Khatola wagerah. Mere paas unke khoobsurat geeton ka khazana hai. Log aaj bhi unke music ke deewane hain. Mere stage shows mein log zyadatar unke geeton ki hi farmaish karte hain. Song: Pee ke ghar aaj pyari dulhaniya chali Master Ghulam Haider kaha karte the ki kisi bhi playback artiste mein paani ki misaal honi chahiye ki jis bartan mein daalen, usi mein samaa jaaye. Main apni taarif to nahen karti, par masterji ki isi baat ko dhyaan mein rakhkar main alag alag sangeetkaaron ke saath kaam kiya. Ghulam Haider, Naushad se lekar C Ramchandra, O P Nayyar, Ghulam Mohammad, S D Burman aur Nashad tak. Maine Hindi ke alawa regional languages mein bhi gaane gaaye hai. Film Aan ki Tamil version mein 4 gaane gaaye hain. bangla aur Marathi mein to pehle se hi gaa rahi thee. Film Shabnam ke ek geet mein maine 5 zabaanon mein gaaya. Ab main aapko film Naya Andaz ka ek geet sunwati hoon jo maine Kishore Kumar ke saath milkar gaaya tha O P Nayyar ke liye. Song: Meri neendon mein tum (Naya Andaz) Raj Kapoor apni pehli film aag bana rahe the. We mere paas aaye aur kaha ki main Prithviraj Kapoor ka beta hoon. Maine kaha - bahut khushi ki baat hai. Phir unhone kaha - aapko meri film mein gaana padega. Maine kaha - gaa doongi. Is film ke saare gaane bahut hi maqbool huye, sangeetkaar the Ram Ganguly. Is film ka ek geet suniye. Song: Kaahe koyal shor machaye re (Aag) Meri nazar mein Shyam Sundar ke liye bhi khaas jagah hai. Woh bahut hi achchhe sangeetkaar aur violin vaadak the. Aaj in 30 minton mein kai chehre saamne aaye aur chale gaye. Ab main ek aise shakhs ka zikr karta hoon jo mere taarif ke mohtaaj naheen hain, jo insaan ke roop mein farishta the, jo kuch dinon ke liye is sansaar mein aaye aur chale gaye, jo tha pehla mardaana awaaz jise logon ne baar baar sunna chaha - K L Saigal. Song: Har ek pal Jis Shamshad Begum ke gaane aap bachpan se sun rahe hain, jis Shamshad Begum ki Jaimala aap aaj sun rahe hain, us Shamshad Begum, yani ki maine kabhi sangeet ki koi taalim naheen lee. Jo kuch bhi maine seekha hai woh Master Ghulam Haider sahab ki den hai, aur mere dil mein unke liye bahut izzat hai. Har aadmi ko apne guru ki izzat karni hi chahiye. Fauji bhaiyon, mere dil mein aap ke liye bhi utni hi izzat hai, aur yahi wajah hai ki maine apni beti ki shaadi ek fauji officer ke saath karwaaee. Khair, yeh to dil ki baat thee jo zubaan par aa gayi. Ab aap mujhe ijazat deejiye, Jai Hind. THE END MERI NEENDON MEIN TUM
MERE KHWABON MEIN TUM LONG LIVE SHAMSHAD BEGUM ![]() |
![]() ![]() |
kistin |
![]()
Post
#2
|
Regular Member ![]() Group: Members Posts: 502 Joined: 20-May 05 From: Turkiye Member No.: 2354 ![]() |
Hi Ashish,
Here is the cleaned version of #2 as per your request. Regards, Kistin ![]() |
![]() ![]() |
![]() |
Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | ![]() |
Time is now: 30th July 2025 - 12:50 AM |