Tu kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Film - Non filmi Year - 1985 Lyricist(s) - Musician(s) - Aslam Sabri Duration - 13.20 mins Bitrate - 128kbps Format - mp3 Kuch toh majbooriyaan rahi hongi Yun koi bewafa nahi hota Jee bohat chahta hain sach bolen Kya karen hausla nahi hota Apna dil bhi tatol kar dekho Faasla bewajha nahi hota Ek imarat lab-e-jamuna wohi andaaz-o-adaa Moghuliya daur ki ghammaaz nazar aati hai Jab bhi mahtaab ki halki si kiran padti hai Taj ki shakl mein mumtaz nazar aati hai Raath teri nahi, raath meri nahi Jisne aankhon mein kaati wohi payega Koi kuch bhi kahay, aur mein chup rahoon Ye saleeqa mujhe jaane kab ayega Chaand jaisa badan, phool sa pairahan Jaane kitne dilon pe ghazab dhayega Aajkal tum qayamat se kuch kamm nahi Jo bhi dekhega deewana hojayega Lekin jaan-e-mann Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofan uthadenge, mere saath na chal Jo mere shaher mein kuch roshni laaye hongay Un charaghon ne kayi ghar bhi jalaye hongay Haath uske bhi yakeenan huwe hongay zakhmi Jisne kaante meri raahon mein bichaaye hongay Ek aashiq ne raath pichle paher Apne mehboob ke na aane par Kardiye tajmahal ke tukday Aab-e-jamuna mein phenk kar paththar Bheeg jaati hain jo palken kabhi tanhaai mein Kaamp uth-ta hoon mera dard koi jaan na lay Yun bhi darta hoon ke aise mein achanak koi Meri aankhon mein tumhe dekh ke pehchaan na le Ek sabr hai iske siwa kuch paas nahi hai Barbaad-e-tammanaon ka ehsaas nahi hai Kamzarf nahi hoon ke jo mein maang ke peeloon Aur ye bhi nahi hai ke mujhe pyaas nahi hai Har sanam-saaz ne paththar pe tarasha tujhko Par wo pighli hui raftaar kahan se laata Tere pairon mein toh paazeb pehna di lekin Tere paazeb ki jhankaar kahan se laata Chandi jaisa rang hai tera, Sonay jaise baal Ek too hi dhanwaan hai gori, baaki sab kangaal Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofan uthadenge, mere saath na chal Soz mein too hai saaz mein too hai Mere jeene ka raaz bhi too hai Saari duniya mein noor tera hai Tere bin har taraf andhera hai Dil tera aur dharkanen teri Too hi kul kaayinaat hai meri Ek ek gaam justjoo teri Ek ek saans arzoo teri Chaand chupta hai sharm ke maaray Teri raahon ki dhool hai taaray Ye taqallul nahi haqeeqat hai Tera koocha nahi hai jannat hai Ek musavvir ka shahkaar hai too Chashm-e-nargiz ka intezaar hai too Rang bhi too hai, raag bhi too hai Phool bhi too hai, khaar bhi too hai Zeest ki wardaat kuch bhi nahi Too nahi toh hayaat kuch bhi nahi Saans lena toh ek bahana hai Zindagani tera taraana hai Ye shabaab aur ye jamaal kahan Is jahaan mein teri misaal kahan Par Log toofan uthadenge, mere saath na chal Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofan uthadenge, mere saath na chal Surkh aanchal jo tera dhalka hai Jaam rangeeniyon ka chalka hai Husn chilman se jab ke chanta hai Tab kahin ek sher banta hai Tere hont is tarah se hilte hain Jaise champa ke phool khilte hain Aye zafar ke shawoor ki mallika Husn ki mai na is tarah challka Tujhse bekhud ne bekhudi paayi Aur faani ne zindagi paayi They pujari tere firaaq-o-majhaal Tere shai-dai they qateel-o-faraaz Tere saudaai hain shameem-o-qumaar Uff tera husn tera singaar Jab jawaani teri machalti hai Sher mein kaayinaat dhalti hai Tere jalwon ki chamak Mere shehron ki chanak Par Log toofan uthadenge, mere saath na chal Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofan uthadenge, mere saath na chal Too ke Qayyam ki rubaai hai Ek chalakti hui suraahi hai Too ke aatish ke dil ka shola hai Aur Naasiq ke funn ka jalwa hai Mirza sauda ka too qaseeda hai Aur yazaana ka too hi kaaba hai Too hai Insha ke khwaab ki taabir Aur hai mus-haqee ka husn-e-zameer Tujhse thi taansen ki har taan Tujhpe baiju bhi dil se tha qurbaan Too hai ghalib ka zaukh-e-laa faani Aur momin ki tarz-e-wajdaani Zauq ke fann ki aabroo too hai Daagh ke dil ki aarzoo too hai Josh ne tujhko pyar se pooja Jigar ne tujhe salaam kiya Jitne funkaar benazir huwe Teri zulfon ke sab aseer huwe Par Log toofan uthadenge, mere saath na chal Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofan uthadenge, mere saath na chal Tujhko Allah ne baksha hai jo ye husn-o-adaa Pesh karte hain tujhe sab hi mohabbat ka qiraa Aur dilwaalon ki duniya mein hai bass tera hi raaj Teri mastaana qiraami pe bahaaren qurbaan Tere aanchal ki parastaar hai mauj-e-toofan Tujhpe hota hai kisi hoor ke paikar ka gumaan Tere jazbaat ki keemat nahi samjhega koi Tera kirdaar-e-sharafat nahi samjhega koi Teri pakeezah mohabbat nahi samjhega koi Mein tere pyar ko ruswa nahi honay doonga Tere saaaye ko bhi maila nahi honay doonga Yun sar-e-raah tamasha nahi honay doonga Maan bismill ka kaha, Apne iraade too badal Log toofan uthadenge, mere saath na chal Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofan uthadenge, mere saath na chal Uske nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahi Mutmayeen aise hain wo jaise huwa kuch bhi nahi Ab toh haathon se lakeeren bhi miti jaati hain Usko khokar toh mere paas raha kuch bhi nahi Kal bicharna toh phir ahd-e-wafa soch ke baandh Ab bhi aagaaz-e-mohabbat hai gaya kuch bhi nahi Mein toh is waaste se chup hoon ke tamasha na baney Log toofan uthadenge, mere saath na chal Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofan uthadenge, mere saath na chal Hazaar ranj sar aankh pe, baath hi kya hai Teri khushi ke tassaduq, meri khushi kya hai Khuda bachaye teri mast mast aankhon se Farishta ho to bahek jaye, aadmi kya hai Aafat hai tera husn, ghazab teri jawaani Allah bachaye tujhe duniya ki nazar se Log toofan uthadenge, mere saath na chal Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofan uthadenge, mere saath na chal Lillah maaf kijiye, nazdeek aaiye Kal raath jo hua hai, usay bhool jaaiye Yun toh pal bhar mein sulaj jaati hain uljhi zulfen Umr katt jaati hai par waqt ke suljhaane mein Kal mila waqt toh zulfen teri suljhaaloonga Aaj uljha hoon zara waqt ke suljhaane mein Aye meri jaan-e-ghazal Aye meri jaan-e-ghazal Dekh kitna haseen mausam hai Har taraf ek ajeeb aalaam hai Zarre is tarah aaj nikhre hain Jaise taaray zameen pe bikhre hain Chaand ne chaandni bichaadi hai Pyar ki anjuman sajaadi hai Too ne duniye meri badal di hai Phir bhi jaane ki tujhko jaldi hai Maan le baath na ja, na ja na ja Aye meri jaan-e-ghazal Aye meri jaan-e-ghazal Udhar waalon mein tanggi ho rahi hai khamm nikalta hai Idhar ragg ragg se khich khich kar hamara damm nikalta hai Ilahi qair ho uljhan pe uljhan badhti jaati hai Na unka khamm nikalta hai na mera damm nikalta hai Marham ke liye marham ko gaye, marham na mila marr hum bhi gaye Ek pari ke zakhmon pe karne ko hum marham gaye Wo bhali changi rahi muft mein marr hum gaye Hayaa aayi, adaa aayi, ghuroor aaya, hijaab aaya Hazaaron aafat lekar, haseenon par shabaab aaya Jo tum aaye toh neend aayi Jo neend aayi toh khwaab aaya Magar teri judaai mein, na neend aayi na khwaab aaya Aye meri jaan-e-ghazal Aye meri jaan-e-ghazal Door waadi mein doodhiya baadal Jhuk ke parbat ko pyar karte hain Dil mein nakaam hasraten lekar Hum tera intezaar karte hain Jhonk khaati hai kamar unke isi baais se Kamar-e-naazuk-e-jaana pe koi till hoga Nazakat isko kehte hain nishaan ab tak hai zaanon par Ke saaaya padgaya tha kal mere daamaan ke salwat ka Kal jo rangne mein zara gehra gulaabi hogaya Naazuki dekho ke us buth ki kamar balkhagayi Abroo na sanwara karo, kat jayegi ungli Nadaan kabhi talwaar se khela nahi karte Tumhari aankhen khumaar parwar Badan ye meena, ye hont saagar Hamari tauba na rehne dega Ye chalta phirta sharaab khaana Ab mein samjha tere rukhsaar pe till ka matlab Daulat-e-husn pe darbaan bitha rakha hai Allah banata humay mothi teri natth ka Bosa kabhi rukhsaar ka lete, kabhi labb ka Jab tumhe jaana hi tha, toh kyun liya aane ka naam Jaan de doonga jo toonay, ab liya jaane ka naam Aye meri jaan-e-ghazal Aye meri jaan-e-ghazal
|
Last entries
My Blog Links
Last Comments
|