Yeh game bohat simple mein aik word doonga aapko aisa gaana gana hai jo us word se shuru hota ho aur phir aap aik word dein sabko.OK
Word is >>> Pyar
Goli maaro bheje main dhickyon
bhejaa shor karta hai
next word-----> shor
Preety jee kaise wahiaad songs gaa rahi hain
lol
Yo Preetz aisa bhi koi song hain ki abhi abhi hi likh diya?? . I don't know any songs that begin with Shor
i agree with you talaikya SHOR se koi bhi song nahin aata maine to bohat dimaagh lara liya
Shor mach gaya shor
dekho aa gaya maakhan chor....
Dekho...
Dekho rootha na karo baat nazron ki suno
Priya tu bhi hain lajawab!!!
Nazar
arey sachchi ka song hai wo!!! and i do think Divz had this one in mind when she gave the word Stya movie ka hai shaayad!!! aur shor se bhi songs hai shor shor shor chaaorn aur hai dulha lutera baapu chor hai
Nazar ke saamne.......Jigar ke paas.......
Koi rehta hai.......woh ho tum...........
Next word: Paas
Yes..of course........"Goli Maar Bheje mein" is a famous song from Satya (RamGopalVarma's famous old film.......Manoj Bajpai's first movie.....) Surprising...no one knew the song apart from Preetz.........
Paas baitho tabiyat something ho jayegi...
Baith..
GK bhai WELCOME mere naye thread per
Tahir bhai, are repeats allowed? If not .... before this game gallops out of control, how about getting started with a list of songs that have already been sung? Just a suggestion.
Baith mere paas tujhe dekhti rahoon
DEKH
Dekh Teri Sansaar Ki Haalat
Kya Ho Gayi Bhagwaan......
Kitna Badal Gaya Insaan.....
Kitna Badal Gaya Insaan.....
Next Word: Kitna
Kitna pyaara tujhe rab ne banaya
Jee kare dekhta rahoonnn
Next Word >> Saajan
Oh ... one can give any word? Doesn't have to be part of the mukhda being sung??
Main gaana tau bhool hi gayi
Saajan saajan pukaroon galiyon mein
kabhi phoolon mein dhoondhu kabhi kaliyon mein
KALI
kaliyon ne ghungat khola aur
ghungat next
ghunghat nahin kholoongi saiyyan tore aage - from naushad - mother india
next word
saiyyan
Tahir - congrats on starting one more
- your games are very popular indeed and much appreciated. Thanks
Saiyyan Dil Mein Aana Re
Next word : Aana
Aana meri Jaan Sunday ke Sunday (Shehnai)
Next word MERI (making it easy)
Meri Zindagi Mein Aate
Toh Kuchh Aur Baat Hoti
Next word : Zindagi
Zindagi pyar ki do char ghadi hoti hain
Easiest - Pyar
Pyar Ka Lekar Udhhan Khatola
Next word : Lekar
lekar hum deewana dil
phirte hai manzil manzil
next manzil
Manzil wohi hai pyaar ki
raahi badal gaye
Badal/badla
Manzil wohi hain pyar ki raahi badal gaye
Raahi /Badal
Not deleting this one too - I already deleted two!!
hum hain raahi pyaar ke hum se kuch na boliye
kuch
Kuchh Kehta Hai Yeh Saawan
Saawan
saawan ka mahina pawan kare shor
pawan
pawan deewani na mane udaaye mora ghunghta
deewani
pehle tau Lata ji - yeh hum hain raahi pyar ke galat nahin tha?? Rahi se gaana tha. Ab main nahin gaungi, darr hain ke delete hi karte rehna parega, champs jo aa gaye hain idhar!!
Deewana Leke Aaya Hai
Next : Tumhi
Tji.......EB band keejiye ...chaliye gaaiye ayyo...maine phir se rules theek se nahin padhe....sollie. ....ahchha hua Nimii nahi hai
tumhi meri manzil tumhi meri pooja tumhi devta ho
meri [ edited ]
Pooja?
Kehte hain gao - aur word tau dekho - Pooja se bhala kaunsa gaana start hota hain??
are baba...abhi rules samajh mein aaye....word edit kar diya.....ek doubt.......words repeat kar sakte hain?....nahin to phir pitai hogi.
MERI
meri jaan mujhe jaan naa kaho meri jaan
jaan
Jaan gayi mein toh jaan gayi.
Next Ga
baharon phool barsaao
mera mehboob aaya hai
mehboob
Mehboob Mere (5 times)
Next : Mere
Mere mehboob main kya nahin kya nahin
Nahin
kisne gaya hain? details please - :meekly:
Nahin nahin abhi nahin
thoda karo intezaar
Abhi
abhi naa jaao chod kar
ki dil abhi bharaa nahi
chod
Aanchal main saja lena kaliyan
julfon main sitaare bhar lena
julf
Zulf bikraati chali aaye ho..
chali
Divya jee next word to dedein
oh i forgot..
next word is FIR
phir se aayio badra bidesi
badra/ baadal
Badal ghir aaye
oooo badal ghir aaye (dunno more)
Aaye..
aayega aayega aayega
aayega aane waala aayega
aanewala
Aanewala pal jaanewala hain
ho sake tau isme zindagi beeta do
pal jo yeh janewala hain
ho ho aanewala pal...
Pal
Talaikya jee aapne ne kitna mushkil word diya hai PAL se mujhe koi song nahin aata
Main gaa doon?? It's a lovely song...
i know too!!!
pal pal dil ke paas tum rehti ho..
paas
Paas aakar to na yun sharmayiye
Yun!!
Yun tau hamne lakh haseen dekhe hain
tumsa nahin dekha
Hamne/ Ham
humne dekhi hai in aankhon ki mehekti khushbu
haath se chu ke inhe riston ka ilzaam na do
dekh
Dekh hume awaaz na dena...
Awaaz...
Awaz de kahan hai
duniya meri jawan hai
jawan..
jawaan hai mohabbat haseen hai zamaana
zamaana
Zamane mein koi hamara nahi hai...
hamara..
hamaare dil se na jaana dhoka na khaana
dil
Dil ko dekho chehara na dekho
cheharon ne laakon ko loota
chehara
chehra kya dekhte ho dil mein utar kar dekho na
dekho
Dekho roota na karo
baat nazaron ki suno...
roota.
rootha hai to manaa lenge
bigdaa hai to banaa lenge
hai
Hai re Hai neend nahi aaye...
Neend
neend ud jaaye teri chain se sone wale
ye dua maange mere nain ye rone wale
dua
Dua kar gham-e-dil
gham
gham ka fasaana ban gaya ahchha
ahchha
Achcha to ham chalte hai
phir kab miloge
jab tum kahoge
miloge
miloge se kaunsa gaana shuru hota hai Nimii
miloge ko milo kar le???
milo na tum to hum ghabraaye
milo to aankh churaaye
aankh
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskurane ki baat karte ho...
Next Word>> Dard-e-dil
Dard-e-dil dard-e-jigar
dil mein jagaya? aapne
Aapne:
aapne yaad dilaya tau mujhe yaad aaya
ke mere dil pe pada tha koi gham ka saaya
Gham/ Saaya (Saaya se kuchh hain??)
Ghum ki raahon main mujhe chod ke jaane waale
bewafa kyo naa kahen tujhko zamanewale
Zamana
zamaana jiski talssah mein hai
wo dilruba mere saamne hai
Dilruba
dilruba dil pe tu ye sitam kiye ja kiye ja
hum bhi to aag main jalte rahe pyaar ke sholon pe chalte rahe
jalta
jalta hai jiya mera bheegi bheegi raaton mein
Jiya
(O) Jiya O jiya O kuchh bol do (chalega??)
Arre o dil ka parda khol do
Parda
parde mein rehne do parda naa uthao
parda jo uth gaya to bhed khul jaaye gaa
uth/uthaye
Uthaye ja unke sitam aur jiyeja
(gosh I hate this song!!)
Un
unse puche kya hai mohabbat
dekhe wo kya kehte hain
keh
Kahna hain kahna hain
aaj tumse yeh pehli baar
hoooo tum hi tau layi ho jeevan mein mere
pyar pyar pyar
Jeevan
jeevan main piya tera saath rahe
haathon main tere mera haath rahe
haath
Haath aaye hain hmmmmm haath aaya hain jab se tera haath mein
aa gaya hain naya rang jazbaat mein
main kahan hoon mujhe yeh khabar bhi nahin
tere kadmon pe hi gir na jaun kahin
Haath aaya hain ayyyyyyyy
Kadam
kadam kadam badhaaye ja
khushi ke geet gaaye ja
gaaye
Gaaye ja geet milan ke tu apni lagan ke..
lagan..
N
Are bhajans allowed ??
Aisi Laagi Lagan, Meera Ho Gayi Magan
Woh To Gali Gali, Hari GuN Gaane Lagi
If allowed -------> next : GuN
Gun gun gun gun gun gun
gun gun karta bhawra tum kaun sandesa laaye
sandes
Preetz that gun.. is something and this gun is something else *headbang*
gun = yaani virtue..
N *hairpull*
oh!!! does the meaning has to be the same too???
ok then continue from Gun i dont remember any
Guni jano re bhakt jano
hari naam se naata jodo bhai
maya se munh modo re
jagatnarain ki jai jai bolo
nagadnarain ko chhodo re
Preetz - didn't know this KK classic??
BOLO
Me know one KK bhajan that starts from guN ..not exactly guN.. but an extension of it..... shall wait for some more time before I post it..
nimii.. does KK and Income Tax ring a bell ?
... T-ji !! saat samundar paar humaare brainwaves match hote hain
Lag tau aise hi kuchh raha hain... am listening to this one... it's amazing!!! How will I ever settle down enough to sleep?? :giggling uncontrollably: A video of this would be just too too much!!!
i did think about that song T but wo guni tha to chod diya
bolo bolo main hu kaun
main laawaris hu ya don
natwarlal ya mahaan
shehenshah ya toofan
kaun
Vivz and Talkz!
I did know that song.. but that is not gun.. but guni so I didnt sing *growl*
N *glares and glares* and sympathizes with Preetz *sad*
Kaun Disha mein leke chala re batuhiya
Tehar Tehar,ye suhani si dagar
Zara Dekhan de,dekhan de
Next word: chala
chala jaata hoon kisi ki dhun mein
dhadkte dil ke taraane liye
KISI
Kisi na kisi se kabhi na kabhi
kahin na kahin dil lagana parega
KAHIN
kahin karta hoga wo mera intezaar
jiski tamanna mein phirti hoon beqaraar
beqaraar
Beqarar karke humein yun na jayiye
aapko hamari kasam laut aayiye
Kasam
kasam se teri aankhen ayiya re aiya
kasam se teri baatein ayiya re ayiya
baat
baat baat mein rootho na
apne aap ko looto na
ye rang badalti duniya hai
taqdeer se apni rootho na
rang
Rang bhare something se
tere nainon ke kajal se?
Maine is dil pe likh diya tera naam
Chandni (sqeak sqeak)
Likh
Something?? squeak??? and she complains of the kind of songs Preetz listens to - by the way Preetz what's this aaiyya re aiyya?? You come up with such unsual ones!!!
Likhe jo khat tujhe (now Preetz n Nimii will object to this too!!
woh teri yaad main
hazaron rang ke nazare ban gaye
Yaad
Maine Sanam Ko Khat Likha, Khat Mein Likha....
Next : sanam
grrrr !! T-ji !!
Aaya Hai Mujhe Phir Yaad Woh Zaalim
Guzra Zamaana Bachpan Ka...
Haaye Re Akele Mein Laut Ke Jaana
Aur Na Aana ... somethign Ka...
next : Guzra
Shd the following song start with the preceding word ??
Grrrr right back at ya Vivekaah - song shd start with Yaad!!!
Rule bhool gaye???
Me didnt want to sing conventional song... but u ppl gimme no choice !
Yaad Na Jaaye, Beete Dinon Ki
Jaake Na Aaye Jo Din,
Dil Kyun Bulaaye Unhein..
Dilllll Kyun Bulaaye ?????
Next: Kyun
vivz you have to sing a song starting with the word T gave!!!
T that song is from the movie Ajnabi, Akshay kumar, bobby Deol and party.... Akshay told in an interview that this was the tune of the song he had to sing when he was working in the Singapore? hotel...
Kyun mujhe itni khushi de di
ke gabhrata hain dil
Khushi
Something I did??
Khush Rahe Tu Sada Ye Dua Hai Meri
something something.. dont rem th second line.. .. chalega ?
trust me .. I didnt make up the song ..actually remember a Rafi song that starts with Khush...
Next : Dua
dua kar game dil khuda se dua kar
gam
me first me first ! if my khush one was allowed that is !
waise is it necessary that the one who gives the word should also know a song from that word, ... just in case others dont get it ?
yes!! T you did something... you posted just a nanosecond before i did
ghum ki raahon main mujhe chod ke jaane waale
bewafaa kyo naa kahe tujhko zammane waale
mujhe
Mere pichhle gaane ko undekha kar diya but sportingly I carry on .... quietly....
Mujhe Pyar Ki Zindagi Denewaale
Kabhi Gham Na Dena, Khushi Denewaale
Next : Zindagi
Mujhe pyaar mein khat kisi ne likha hai
Khat
Ayyoooo !! too many cooks......
me outta here ....
Vivek!!! U are making a habit of this!!!!
Zindagi kaisi hai paheli hai
kabhi yeh hansaye kabhi yeh rulaye
Kabhi
kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
mere
Since Ive been "suitably" reprimanded, I return ..... gingerly....
Mere Man / Dil Ka Baanwra Panchhi
Kyun Baar Baar Dole...
Next : Baar
baar baar dekho
hazaar baar dekho
hazaar
hazaroon rang badalega zamana
na badlega mohabbat ka fasana
mohabbat
Mohabbat Mein Aise Zamaane Bhi Aaye
Kabhi Ro Diye Hum, Kabhi Muskuraaye
Next : Ro
Ro na kabhi nahin rona
chahe toot jayen koi khilona
Vivek baba
Toot(na)
Khilona todne par mujhe kyun yaad kiya jaa raha hai !!
Why me being associated with everything destructive today !
Toote Hue Khwaabon Ne
Humko Ye Sikhaaya Hai
Dil Ne....
Dil Ne Jise Paaya Tha
Aankhon Ne Ganvaaya Hai
Next: Jis(e)
Toote hue khwabon ne
humko yeh sikhaya hai
Humko
Just not my day.
Vivek, tujhe main dekh loongi.
Main bahut door baut door bahut door chali...
humko to yaara teri yaari jaan se pyaari
jaan
jaan ki kasam sach kehte hai hum
khushi ho ya ghum baant lenge hum aadha aadha
aadha
Vivek....agar tune mujhse pehle post kar diya to
aadha hai chandrama raat aadhi
raat
Thank God !! I take back my emoticon.
Priya.. dont worry.... mere pehle hone ka koi faayda nahin...
sab log tumhaara hi clue lekar proceed karte hain ..as if i just dotn exist
*probably the thread wud have galloped and u wont even read this... but HF gawaah hai.. in naa-insaafiyon ka*
Jaanoo Meri Jaan, Main Tere Qurbaan
Arre Main Terrra Tu Merrri Jaane Saara Hindustaan
Next : Saara
Vivek - Main hoon na... main sab dekh rahi hoon.
raat ka jaanu(yiekkksss) kaise hua!!!
3 minute mein 2 bhooton (invisible ones) ne 2 gaane post kar diye....
aise raat ka jaanu hua !!
back to raat ---
Raaton Ko Chori Chori
Bole Mora Kangna
Next : Chori
PS : aage ke lines nahin pata
chori chori yun jub ho aankhen chaar kya hota hai
aankhen
aankhon aankhon mein baat hone do
mujhko apni baatone mein khone do
baat
Baat hain ek boond si
dil ke pyale main...
BOOND
boondon main jaane kya nasha hai....
tann mann pighlati boonde...
ye kaun saa song hai zaraa koi mere ko bataayega just remember this much
tann next
tan mein agni man mein chubhan
kanp utha mera bheega badan
O rabba khair
O rabba khair
Bheega
bheegi bheegi raaton mein meethi meethi baaton mein
aisi barsaaton mein kaisa lagta hai, aisa lagta hai
barsaat
barsaat me humse mile tum sajan
tumse mile hum
barsaat me...
mile
huh maara kyo!!! maine khudse bataaya naa apni mistake .... isiliye!!!! isiliye aaj tuk dusra mahatma gandhi paidaa nahi hu (and thank god for that) unhone apni galti bataa di to unhe shabaashi mili mujhe maar pad rahi hai
Ajnabi, Tum Jaane Pehchaane Se Lagte Ho...
Ho is next word...
And don't you compare yourself with MK Gandhi! Chal jhoothi!
jhooti bola ye lo!!!
and im better then MK Gandhi any day!!!!
hoga tumse pyaara kaun humko to tumse hai
aye kanchan pyaaar...
Pyaar
me confused!!! jhooti hota hai liar ya jhoothi hota hai liar???
Some difference between 'ho' and 'hoga', Preety! School jaati ho, aur sab kuchh bhool jaati ho!
And it's jhoothi... Par 'jhoothi hota' nahin, 'hoti' hei!
Better than MK!
aur jhoota hota hai jo khaana chod dete hai wo naa? me always get confused in this and the other word prabhavit you get prabhavit with someone or pravahit with someone
doesnt it sound strange Jhoothi ka matlab liar hoti hai lagta hai koi pathaan ki bachchi bolti hai
Left-overs are called jootha...
Pyaar bina chhain kahan re..
pyaar bina chhain kahan re
sona nahi chandi nahi ...
chandi
wow rom you know it all!!! main pravaahit hui!!!
chandi jaisaa roop hai tera
sone jaise baal ek tu hi dhanvaan hai gori
baaki sub kangaal
sona
Sona mera maahi sonaa....
Rab tujeh maaf kare... tera insaaf kaare..
Maaf
dooba dooba tere pyaar main dooba
dooba dooba tere pyaar main dooba
dubuk dubuk dubuk
Preety ko pyar hogaya
Yeh main kya pad rahi hoon
N
ye kya itni kharaab baat hogi ki tum headbang kar rahi ho Nimz
vaise hua nahi hai main to shair padh rahi thi naa... prabhaavit ho ke pravaahit ho jaana
kuvein main doob ke marr jaana yaar tum shaadi mut karnaa
maaf se--->
ma ma ma maaf karo
ja ja ja jaane do
ha ha ha haye allah
cho cho cho chod do naa
jaane do
Good part is that she's just about five years old... all kids must love their elders.
Jaane do na
paas aao na
chuo na chuo na mujhe....
Chu...
Chu le chu le chu le mujhe chu le
mera roop mera rang
rang
Yeh kaunsa gaana hai????
Rang aur noor ki baraat kise pesh karoon?
Kise
dont know kis movie ka hai just remember Madhuri Dixit and sanju baba were there in the song Madz acting the seductress in an orange sari
Kisey Karta Moorakh Pyar Pyar Pyar Tera Kaun Hei...
Moorakh se...
This one's from Achhoot Kanya... mere jawan dinon ki film. Singer is Ashok Kumar.
Moorakh hain insaan bhagwan
bure bhale ka gyan rakhe na
apna ganwaya dekho naam
Naam
naam kya hai pyaar kaa maara
ghar kaa pata do, dil hai tumhaara
tumhara
Tumhara chahnewala khuda ki duniya mein
mere siwa bhi koi aur ho khuda na kare
Khuda
khuda gawaah khuda gawaah
tu mujhe kabul main tujhe kabul
tu
tu tu hai wohi dil ne jise apna kaha
tu hai jahaan main hoon wahaan
ab to ye jeena tere bin hai saza
jahaan
jahaan teri ye nazar hai
meri jaan mujhe khabar hai
nazar
Nazar nazar se ho rahi hain baat pyar ki
machal machal rahi hain raat yeh bahar ki
BAAT
Baat koi matlab ki hai zaroor
varna kab aate yahan mere huzoor
Yahan
Yahan koi nahin tera mere siwa
kehti hain jhoomti gaati hawa
tum sab ko chhod kar aa jao
aa jao
aa jao
JA
Ja ja ja ja bewafa
kaisa pyaar kaisi preet re
tu na kisi ka meet re
jhooth tere pyaar ki kasam...
Meet
Meet na mila re man ka
koi tau milan ka karo re upay
Milan se gaane hain??
Upay se??
Man ...
mann bhaavan ke ghar jaaye gori
ghunghat main shrmaaye gori
ghar ( i have a similar song in mind when i give this as the next word )
ghar aaja ghir aayi badraa sanwariya
badra
me first me first
Byeeeeeeeeeeeeeee to all of you!
Lata jee apnne yeh word kia soch kar diya hai isse to koi song nahin aata
mujhe bhi nahin aata ahchha sanwariya se gaa deejiye
Sanwariya sanwariya
main to hui baawariya
tune mann moh liya saawariya ho...
tune
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
piya piya bole matwala jiya
Jaadu
Jaadu Jaadu , Jaadu Jaadu ...
Aaj Dharti se Gagan kaa, Phoolon se Chaman kaa
Ghataao se Pawan kaa Ho raahaa Milan ...
Jaadu Jaadu, Jaadu Jaadu ...
---------------------------------
Gagan ( Or choose any other word except repeating )
Dharti se gaaoon?
Dharti se door something badlon ke par aaja
Door
door koi gaaye dhun ye sunaaye
tere bin chaliya re baaje na muraliya re
baaje
baaje baaje se kahin baansuriya (lovely KK# wish i had it )
kahin
Kahin door jab din dhal jaaye
Sanjh ki dulhan ..
Sanjh
Saanjh dhale gagan tale
hum kitne ekaaki
dhale/ dhal
Dhal gaya din
Ho gayi shaam
Jaane do jaana hai
din
Din Mahine Saal Guzarte Jaayenge......
Hum Pyaar Mein Jeete....Pyaar Mein MARrte Jaayenge.....
Dekhenge.......Dekh Lena......Dekhenge.........Dekh Lena........
MAR
Marna teri gali mein
jeena teri gali mein
mit jayegi hamari duniya teri gali mein
Gali se hain koi song?? If not -
TERI
Teri nigahon mein
teri hi bahon mein
rehne ko ji chahta hoon...
Bahon
Baahon Mein Chale Aao........
Ho...humse sanam kya pardah.......
Ho.....Humse Sanam Kya Pardah.........
Hai Aaj Kya......Yahi Milan......
Hai Sang Yeh.....Umar Bhar Ka......
Next: AAJ
Gali ka song to hai but phir sub bolenge main kaise gaane sunti hu
gali gali main phirta hai tu kyo banke banjaara
aa mere dil main bus jaa mere aashiq aawara...
oh sorry Priya ne gaa diya hai!!!
baahon main chale aa
humse sanam kya parda
parda
Shyaam!!!!! U are swearing!!!!
Preetz!!!! Cannot help Ur tastes but next word to de.
Maine kab ga diya???? Odd song!!!!!
Parde mein rehne do parda na uthao
parda jo uth gaya to bhed khul jayega....
Rehna
I swore??? Kab??? Kahaan???
U edited it!!!! What happened to that gali and teri post!!!
Shyam gave a gaali??? Yeh kya zamana aa gaya hain?? Tauba tauba. Kaun gaali diyo Shyam??
Grrrrrrrr i dont like that song!!!! i just happen to remember all the songs i hear good bad or otherwise
rehna to hai tere hi sang rehna magar mumkin nahi
ye tishnagi dil ki mere kaise karu main bayaan....
kaise
Kaise kahen hum...
(rendered speechless by the song)
Khel
Khel se gaana????
Can expand on Khel -
khelo naa mere dil se
o mere saajna o saajana o saajna
saajan/saajna
Khelo na mere dil se O mere sajna...
Baki nahin aata (
Sajna? Must be done already
Lata!!!!!! Where on earth did U appear from????
After I racked my brains for hrs!!!!!!
AYYO!!!!!! Priya!!! That was not "GAALI".....Actually T'ji left the clue for next song as "GALI" (As in street), and if there's no song from 'gali', then alternate clue was "Teri". And I posted there regarding that clue on "GALI" and not "GAALI" (as in swearing....)
Did anybdy understand what I just wrote???
isiliye kehti hoon ke Lata ke gaane suno
Why??? It is all a khel?
Priye u r
LAKH-> LAKHON
lakhon taare asmaan me
ek bhi ____ na mila
dekh ke duniya ki diwali
dil mera chup chap jala
diwali.
if there is no song with it then duniya
Duniya o duniya tera jawaab nahi
Jawaab
Jawaab deeeee kahaa hai
kahaa
Kahan chal diye idhar to aao
mere dil ko na thukraao
Idhar
arey haan mujhe bhi aisaa lag rahaa tha ki kuch gadbad hain
Idhar chala mein udhar chala
jane kahan mein kidhar chala
arre phisal gayaaaaaaaaaaaa
yeh toone kia keeya...
Duniya
Duniya Kisi Ke Pyar Mein Jannat Se Kam Nahin...
Nahi se...
Nahin nahin abhi nahin
thoda karo intezaar
nahin nahin kabhi nahin
main hoon beqarar
Intezaar:
nahin nahin koi tumsa haseen
KOI
Koi Yeh Kaise Keh De Ke Woh Tanha Kyon Hei...
Woh Jo Apna Thha Woh Kisi Aur Ka Kyon Hei..
Tanha
Tanha tanha yahan pe jeena
ye koi baat hai
Jeena
Jeena Kahaan Hei?
Pyar Jahan Hei!
Manzil Kahan Hei?
Pyara Samaan Hei!
Not too sure about the lyrics...
Jaana kahan hai song Rommyji
Oh! That's so, Shivani-ji!
OK, this then:
Jeena Toh Hei Par Aye Dil Kahan...
Aye se...
aye mere dil kahin aur chal gum ki duniya se dil bhar gaya
dhoond le ab ki ghar naya
next - gum
Ghum Badhe Aatey Hein Qaatil Ki Nigaahon Ki Tarah...
Mujhko Aye Dost Chhipa Lo Gunaahon Ki Tarah...
Dost
ah ye kaun song hai.. hame chahiye
mere dushman tu meri dosti ko tarse
mujhe gum dene wale tu khushi ko tarse
next - khushi
Dost se gaana thha!
That's a ghazal... by Jagjit Singh.
dost dost-i gaya to faltoo ki kit kit nahi karo next song gao aur pehle wala behjo
Song should begin with dost!
oh begin with it.. is it so :blink..
dost dost na raha
pyaar pyaar na raha
zindagi hame tera
aitbaar na raha
next - zindagi
Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hein Jo Maqaam,
Woh Phir Nahin Aatey...
Maqaam se...
grrrrrrr Maqaam se koi gana nahi hai.. easy word do
OK, toh 'Phir' se gao...
Will need to search that Jagjit Singh ghazal.
phir tumhari yaad aaye aye sanam aye sanam
hum na bhoolenge tumhe allah kasam
next - tumhari
Tumhaari Zulf Ke Saaye Mein Shaam Kar Loonga...
Loonga se...
Loonga se kya hota hai
thoda to socho before giving the word.. change karo abhi ke abi chalo
mujhe to lagta hai jaan boojh kar u r giving such words to pick up a fight
No no... just wrote the first word that came into my mind!
Koi baat nahin, kisi be word se ga do! Achcha Shaam se ga do...
Shaam-e-ghum ki kasam aaj gagin hain hum
aa bhi jaa aa bhi jaa mere sanam
ghum
Ghum ki dawa hai pyar hai..
sharab nahi...
sharab..
(aye) ghame dil kya karoon aye wahshate dil kya karoon
kya karoon
(aye silent hai )
next - dil
are rules kya hian?
Sharaab cheez hi aisee hai naa chodi jaaye
mere yaar ke jaisee hai naa chodi jaaye
chod
chod do aanchal zamanaa kya kahega
aanchal
Aancha Mein Saja Lena Kaliyan, Zulfon Mein Sitaare Bhar Lena...
Aise Hi Kabhi Jab Shaam Dhale, Tab Yaad Humein Bhi Kar Lena...
Zulfon se...
zulfon ki ghata lekar sawaan ki pari aayi
ghata
lata jee ghata se koi song nahin aata koi doosra word do plz
Tahirji.....gaana hai........ek clue deti hoon.......its a duet one singer is Lata.
Ummmm a challenge huh??
Cool Sochte hain... aise yaad nahin aa raha (Stuck on O ghata sanwari)
Ghata Chha Gayi Hei, Bahaar Aa Gayi Hei...
Hei se next...
hai naa bolo bolo hai naa bolo bolo
papa ko mommy se mommy ko papa se
pyaaaaaaaaaaaar hai pyaaaaaaaar hai
papa
Papa Kehte Hein Bada Kaam Karega, Beta Hamara Bada Naam Karega, Magar Yeh To Koi Na Jaana Ke Meri Manzi Hei Kahan...
Kahan..
New song, T-ji! I'm not sure if I have it. Duet with Suresh Wadkar...
mm ye rut hampe yun meherbaan ho gayee hai.. i think this is from new Waris.. smita patil wali Tal
Kahan chal diye
idhar tau aao
mere dil ko na thukrao
bhole sitamgar
maan bhi jaavo
MAAN
maan jaaiye maan jaaiye baat mere dil ke jaan jaaiye
dil
dil tera deewana hai sanam
jaante ho tum kuch naa kahenge hum
jaan
Maan Mera Ehsaan Arrey Naadan Ke Maine Tujhse Kiya Hei Pyar...
Tujhse...
And that song's from Waaris... not so new movie, then. Somehow got confused...
Wah wah, hamne pukara aur teen logon ne gaaya - kya charishma hain!! :phoole nahin samaa rahe:
Preety aur Romji ko me first me first
Three songs with Maan!
Next song should begin with dil/ jaan/ tujhse and contain the other two!! C'mon we can do this, common words hain.
jaan ki kasam sach kehte hain hum
hum
lol!!! seems no one noticed my mistake achcha hai achcha hai
hum ko tumse ho gayaa hai pyaar kya kare
bolo to jiye bolo to marr jaaye
marr
Preetz - edit kar diya??
Preety gadbad kar rahi hei kya!
marna teri gali mein jeena teri gali mein
gali
haan edit kar diya
but abhi dekhyiye dekhiye Lata ne gadbad kiya pehle jeena hai phir marnaa hai unhone ultaa gaaya
gali gali jo baat chali to log kya kahenge
aji ise pyaar kahege aji ise pyaar kahenge
next 0 chali
Gali Gali Dhoonda Tujhe, something-2 Khoja...
Tujhe...
Me bhagoing from here before people kill me for confusion!! Later peeps... bahut dinon se sab kaam kaaj neglect kiya hain...
Yahan bhi pahunch gaye saare spammers!
Thwaada satyaanash hovey! Thwaada beda gark hovey!
tujhe kay sunaoun main dilruba tere saamne mera haal hai
haal
main bih jaa rahi hoon baith kar apne aap khelo rommyji
haal kya hai dilon ka naa pucho sanam
aapka muskuraana gajab chaa gayaa
gajab
Haal Kya Hei Dilon Ka No Poochho Sanam,
Aapka Muskurana Ghazab Dha Gaya...
Poochho
poocho na kaise maine rain bitaai
kaise
Wah wah - Preetz n Rom ji on same wave length!! Yeh bhi din dekhne mila - something naseeb
Mein bhi jaa raha hoon! Sab log ek saath post kar rahe hein, and I'm always getting beaten at the post!
Powered by Invision Power Board (http://www.invisionboard.com)
© Invision Power Services (http://www.invisionpower.com)